Tuesday 16 January 2018

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (38)



بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(38)❤

*Aapke ilm ka imtihan lene k lie ek 100 Sao Fuqha ka aana*

Jabh Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke waaz ki shohrat har taraf barhne lagi aur digar waaz karne waaloñ mein awaam kam hone lagi to 100 waaz karne waaloñ ne socha ke hum sab 1 - 1 masaeel chun le jo sakht se sakht ho aur bhare majme mein puchenge Gaus e Pak رضي الله عنه ko aur Aap ek saath itne sakth masaeel ke jawab nahi de payenge aur logo ki Aapse aqeedat khatam ho jaaye, Allah ki panah

Chunanche har waaz karne wale mushkil se mushkil 1-1 masla chun liya aur Aapke waaz mein pahuche theek ussi waqt Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ke seena e mubarak se noor ki bijli chamki jisse koi naa dekh saka magar jisse Allah ﷻ ne chaha usne ye dekha woh bijli ek ek karke un 100 sawal puchne waaloñ ke seene mein paiwast ho gayi phir woh saare ke saare chikhne lage aur apne kapde faadne lage aur daud kar Peerane Peer ke mubarak qadmo mein apna sar daalne lage.

Uske baad Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه har ek ko apne seena e akdas se lagate jaate aur farmate jaate the ki tera yeh sawal hai iska yeh jawab hai issi tarah Aapne sabke sawal aur jawab dono irshad farma diye.

Jabh majlis khatam huwi to un sawal puchne waaloñ se pucha gaya ke aap logo ko yeh kya ho gaya tha kyu kapde faad rahe the to unhone bataya ke jaise hum iss mubarak majlis mein aakar bethe to jo kuch humein aata tha achanak humare seene se aise gayab huwa jaise humne ek lafz bhi kabhi naa parha tha phir jabh Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne apne mubarak seene se lagaya to hamara saara ilm wapas aa gaya aur itna zyada ilm se hum log malamal ho gaye jo hum pehle nahi jante the.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
*****************

Mamba e faiz bhi hai majma e afzaal bhi hai,❤

Mehr e irfaañ ka munawwar bhi hai Abdul Qaadir.❤

**********************


❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (33)



بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(33)❤

*HAZRATE GOUSE AZAM رضی الله عنہ KI ILMI SHAAN...*

Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ KI Ilmi Shaan Bahut Unchi Hai, Allah Taa'la Ne Sarkare Gouse Paak رضی الله عنہ Ko Zahiri aur Batini Ilm Me Qameel Maharat Ata Farmayi..

Qur'an Sharif Aur Hadeese paak Par Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Puri Trah Maharat rakhte The, Apka Hafiza Bahut Tez Tha Jis Cheez Par Zara saa Gour Farmate Woh Cheez Fouran Yaad Ho jati, Zahiri Uloom Ke Alawa Jab Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Be'panah Riyazat Mujahida Kiya to Us Waqt Mushhada Ke Zariye Be'panah uloom aap par Zahir Huwe..

Allah Taa'la Ne Apko Itne Zyada Bhedo Ka Ilm Diya Ki Jab Koi Ilmi Bat Karta To Aap Fouran Uske Raaz Bayan Farma dete, Bayan Kiya Jata hai Ki Jab Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Padhana Shuru Kiya To Duniya Apke Ilm Par Hairan Ho Gayi, Aap Ese-Ese Nuqte bayan Farmate Jo Bade-Bade Ulema Ke Ilm Me Na Hote Isliye Thode Hi Zamane Me Hazrat Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Ilm Ki Sohrat Door-Wa-Nazdik Bahut Jald Fayl Gayi..

Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Darsgaah Sharif Se Bade-Bade Ulema-E-Kiram Sairab huwe Garz Ye Ki Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Deeni Uloom ka Ek Athag Samundar the Aur Ilme Deen Ke pyase Us Athag Samundar Se Apni Pyas Bujhate...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-81/82)
******************


بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(34)❤

*HAZRATE GOUSE AZAM KA ILM-E-LADUNNI...*

Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ko Allah Taa'la Ne Kitna Ilm ata Farmaya Isko Hum Bayan Nahi Kar Sakte Magar Ek Waqiya hum Naql Karte Hai..

Shaikh Abul Hasan Umar Kimani Aur Shaikh Abul Hasan Umar Bazzaz Ka Bayan hai Ki Hum Log Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Mubarak Makan Par Pahuche Jo Apke Madarsa Babul Ajajz Me Hai...

Us Waqt Huzur Gouse Paak Doodh Nosh Farma Rahe The, Apne Doodh Pina Chod diya Aur Kuch Der Allah Taa'la Ki Traf Mutawajjah Rahe Fir Farmane Lage Abhi-Abhi Mere Liye Ilme Ladunni Ke 70 Darwaze Khol Diye Gaye Hai...

Unme Se Har Darwaze ka Felaw Zameen-Wa-Aasman Ke Darmiyan Felaw Ki Trah Hai Uske Bad Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Khaas Tabke Ki Marifat Ka Bayan Shuru Kar diya Usse Hazrin Hairat Aur Dehshat Me Doob Gaye..

Humne Kaha Ki Hume Yakeen Nahi Aata Ki Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ke bad Koi Esi Guftagu Kar Sake...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-83)
*****************

بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(35)❤

HAZRATE GOUSE AZAM KI ILM KI ZYADTI..

Abu Muhammad Khasshab Nahwi ka Bayan Hai Ki me Jawani me Ilme Nahaw(Arabi Grammer Ka Ek Ilm) Padha Karta Tha Aur Muje Bahut Sokh Tha Ki Kisi mahir Ustad Ki Shargirdi Ikhtiyar Karu Jo Muje Ilme Nahaw Aur Dusre Uloom Me Mahir Bana de..

Isi Darmiyan Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Ilm-W-Fazl Ki Sohrat Fayl Gayi, Jo Saksh Ek Martaba Apki Majlis-E-Mubarak Me Jata Hamesha Ke Liye Apke Ilm-W-Fazl Ka Aqeedatmand Ho Jata..

Jab Bahut Zyada Logo Se Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jeelani Ki Tarif Suni to Me Bhi Ek din Apki Majlis me Ja Pahucha Mere Waha Pahuchte Hi Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Meri taraf Mutawajjah Huwe Aur Farmaya Agar Tum Humare Pas Raho To Hum tumhe "SIBWE"(Ek Bahut Bada Nahwi Tha Jo Gumrah Firqe se Tha) Ka Zamana Dikha Denge...

Abu Muhammad Khasshab Nahwi Kehte Hai Ki Me To Dil Se Yahi Chahta tha, chunache Usi Waqt se Me Khidmate Mubarak Me Rehne Laga, Thode Hi Zamane Me Muje Ilm-W-Nahw Aur Uloom-E-Aqaliya Aur Uloom-E-Naqaliya Me Esa Mahir Bana Diya Ki Mere Wehmo Guman Me Bhi Nahi Aa sakta tha..

Mene Aap Jesa Mufassir, Muhaddis, Faqeeh, Aur Dusre Uloom Ka Mahire Qameel Apni Puri Zindagi Me Nahi Dekha...

Shaikh Abdullah Zubayi Bayan Karte Hai Ki Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ka Ek Shargird Umar Hallawi Baghdad Se Bahar Chala Gaya Aur Jab Kuch saal ke Bad Baghdad Wapas Aaya To Mene Pucha Ki Tum Kaha Gayab Ho Gaye the To Umar Hallawi Ne Bayan kiya Ki Me Misr, Shaam, Aur Magrib Ke Mulko Me Ghoomta Fira Jaha mene 360 Buzurgo Se Mulaqat Ki Lekin Un Buzurgo Me Se Ek Bhi Esa na Mila Jo Ilm-W-Fazl Me Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Barabar Ho Aur Tamam Buzurgo ko Yahi kehte Suna Ki Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jeelani Humare shaikh Aur Peshwa hai...

🌹Subhanallah.....
********************

بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(36)❤

*FATWA NAWISHI.....*

Hazrate Mehboob-E-Subhani Gouse Azam shaikh Abdul Qadir Jeelani رضی الله عنہ Ke Ilm-W-Fazl Ka Charcha Jab Duniya Me Charo Taraf Huwa To Har Taraf Se Bahut Istifat(Deeni ilmi sawalat) aane lage Aur Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ  Har Sawal ka Jawab Bilkul Theek dete the...

Fatwa Likhne Ki Tezi Ka aalam ye tha Ki Kabhi Koi sawal Apke Pas Raat Bhar Bhi Nahi raha Aur Apke Fatwa Dene Me Gour-w-Fikr Karne Ya Kisi Qitab Ke Dekhne Ki Zarurat Kabhi Nahi Huyi..

Aap Sawal Padhte Hi Uska Jawab Likh Dete the, Iraq Ke Bade-Bade Ulema-E-Kiram Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Fatawa Ke Bilkul Sahi Hone Aur Jawab Ki Tezi Par Bahut Ta'jjub Karte Aur Bahut Tarif Karte Aur Bager Kuch Soche Samje Apke Fatwo Ki Tasdik Karte Huwe Apna Naam Likhte..

Chunache Shaikh "MOFIQUDDIN IBNE KADAMA" Ka Bayan hai Ki Hum 561 Hijri Me Baghdad Pahuche Us Waqt Shaikh Abdul Qadir Jeelani Ke Barabar Ilm-W-Fazl Aur Padhane Aur Fatawa dene Me Koi nahi Tha...

Talib Ilmo Aur Fatawa Puchne Walo Ko Apki Moujudgi Me Kisi Dusre Ki Hajat Na Hoti thi
****************

بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(37)❤

*FATWA NAWISHI.....*

Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Pas Jis Mazhab Ke Bhi Fatwe Aate Huzur Muhiyuddin Yani Deen Ko Zinda Farmane wale Ha Yahi Wajah hai Ki Aap Har Mazhab Ke Mutabik Bilkul Sahi Fatwa Dete the..

Kisi Mazhab Wale ko Bhi Ungli Rakhne Ki Gunjaish Nahi Hoti thi Sehzade-E-Sarkare Gouse Azam Tajuddin Hazrate Shaikh Abdul Razzak رضی الله عنہ Ka Bayan Hai Ki Ek Martaba Mulke Ajam Se Mere Walide Majid Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke pas ek sawal Jo Isse Pehle Iraq Ke Bade-Bade Muftiyo Ke samne Pesh ho Chuka Tha Magar Kisi Mufti Ne bhi Us Sawal Ka Jawab Naa diya..

Sawal ye Tha ki Ek Saksh Ne Kasam Khayi Ki Woh Koi Esi Ibadat Karega Jis Ibadat Ke Waqt Puri Qaynat Me Koi Dusra Sharik Naa hoga Aur Agar Woh Saksh Esi Ibadat Na Kar Sake To Uski Biwi Ko 3 Talak, Esi Halat Me Woh Konsi Ibadat Hai Ki Sayil Wo Ibadat Kare Jisme Uske Sath Koi Sharik Na ho..

Tamam Ulema-E-Kiram Is Sawal Ka Jawab Dene Se Majboor Ho Gaye, Fir Jab Ye Sawal Mere Walid Majid Sarkare Gouse Paak رضی الله عنہ Ke Pas Aya to Apne Fouran Uspar Yeh Fatwa Diya ki Wo Saksh Makkah Mua'zzama Chala Jaye Aur Mataf Yani Tawaf Karne Ki Jagah Uske Liye Khali Kar Di Jaye Aur Woh Tanha Qaba sharif Ka 7 Martaba Tawaf Kare To Uski Kasam Nahi Tootegi...

Ye Jawab Sunkar Bade-Bade Ulema-E-Kiram Aur Auliya-E-Kiram Hairan Reh Gaye Kyunki Sirf Yahi ek surat thi Jisme woh Saksh Tanha Ibadat Kar Sakta Tha Aur Uski Kasam Puri Ho Sakti thi..

Ye Fatwa Milte hi Wo Saksh Makkah Mua'zzamah Rawana ho Gaya Aur Qaba Sharif Ka Tanha 7 Martaba Tawaf Kiya Aur Uski Biwi Talak Se bach gayi...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-84/85)
*****************

Mufti e shara’a bhi hai qaazi e millat bhi hai,❤

Ilm e Asraar se maahir bhi hai Abdul Qaadir❤( رضی الله عنہ )
*******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH.....

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (31)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(31)

*NASARA KA ISLAM QABOOL KARNA...*

Ek martaba Isayi Rahib Hazrate Gouse Azamرضی الله عنہ Ki Khidmate Mubarak Me Hazir Huwa, Uska Naam Sanan tha Aur Woh Purani Qitabo ka Bahut bada Aalim tha..

Us Rahib Ne Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Hatho Par Islam Qabool Kiya Aur Fir Aam Majme Me Khade Hokar Bayan Kiya ki Me Yaman Ka Rehne Wala hu Mere Dil Me Ye Bat Payda Huyi Ke Me Islam Qabool Kar Lu..

Aur Is bat Par Mera Bilkul Pukhta Irada Ho Gaya Ki Me Yaman Me Sabse Aala Aur Afzal Saksh Ke Hath Par Islam Qabool Karunga Isi Soch me Tha Ki Muje Neend Aa gayi Aur Mene Hazrat Saiyedna Isa Aleyhissalam Ko Khawab me Dekha..

Hazrate Isa Aleyhissalam Muje Huqm Farmate hai Aye Sanan Baghdad Sharif Jao Aur Shaikh Abdul Qadir Jeelani Ke Mubarak Hatho par Islam Qabool karo Kyunki Wo Is Waqt Roo-E-Zameen ke Tamam Logo se Afzal Aur Aala Hai...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-80)
******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(32)

*13 NASARA KA ISLAM QABOOL KARNA....*

Shaikh Umar Kimani Bayan Farmate Hai Ki Ek Dafa Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Khidmate Aqdas Me 13 Log Islam Qabool Karne Ke Liye Hazir Huwe..

Musalman hone ke Bad Un Logo Ne Bayan Kiya Ke Hum Log Arab Ke Isayi Hai Humne Islam Qabool Karne Ka Irada kiya tha Aur Ye Soch Rahe The Ki Kisi Mard-E-Qameel Ke Mubarak Hath Par Islam Qabool Kare..

Isi Darmiyan Ek Gaibi Awaz Humne Suni Ke "TUM LOG BAGHDAD SHARIF JAO AUR SHAIKH ABDUL KADIR JEELANI KE MUBARAK HATHO PAR ISLAM QABOOL KARO"...

Kyunki Jis Qadr Imaan Shaikh Abdul Kadir Jeelani Ki Barkat se Tumhare Dilo Me Ghar Karega Us Qadr Imaan Is Zamane Me Kisi Dusri Jagah Se Na'mumkin hai..

Chunache Hum Log Usi Gaibi Ishare Ke Huqm par Baghdad Aaye Aur Alhamdulillah Ki humare Seene Noore Hidayat Se Roshan Ho Gaye...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-80/81)
*******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (25)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(25)

*JA'NASHEENI KA KHIRKA MUBARAK...*

Taleem Ke Douran Apko Jis Qadr Mashakkate Uthani Padi Hai Wo Aap Padh Chuke hai, Garz Ek Muddat Guzarne ke Bad Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ko Khirka-E-Iradat-Wa-Khilafat Hasil Huyi Ye Khirka Jin Bizurg se Sarkar Gouse Azam رضی الله عنہ Ko Mila Unka Naam "HAZRAT QAZI ABU SAEED MUBARAK MAHZAMI"Hai Jo Mazhabe Humbali Ke Mumtaz Peshwa Maane Jate hai..

Bayan Kiya Jata hai Ke Hazrate Khawaza Qazi Abu Saeed Mubarak Mahzami رضی الله عنہ Ne Jab Huzur Gouse Paak رضی الله عنہ Ko Apna Mureed Kiya to Mureed Karne ke bad Hazrate Khawaza Abu Saeed Mahzami Ne Apne Mubarak Hatho se Huzur Gouse Paak ko Khana Khilate Jate Aur Farmate Aye Abdul Qadir Tum Nahi Khate Balki me Allah Taa'la Ke Huqm se Tumhe Khila Pila Raha hu...

Sarkare Gouse Paak ka Irshade Girami Hai Ki Mere Peer-O-Murshid Shaikhe Azal Hazrate Khawaza Abu Saeed Mahzami رضی الله عنہ Jo Luqma Mere Munh me Dalte The Woh Luqma Mere Seene Ko Marifat Ke Noor se Bhar Deta tha Fir Hazrate Shaikh Mahzami رضی الله عنہ Ne Huzur Gouse Paak رضی الله عنہ ko Janashini Ka Khirka Pehnaya Aur Irshad Farmaya..

AYE ABDUL QADIR JEELANI YE KHIRKA HUZUR SAIYEDE AALAM NOORE MUJASSAM ﷺ NE HAZRATE MOULA-E-QAYNAT JANABE ALI-E-MURTUZA رضی الله عنہ KO ATA FARMAYA THA JO AULIYA-E-KIRAM KE MUBARAK HATHO SE HOTA HUWA MUJH TAK PAHOCHA HAI AUR MENE AYE BETA ABDUL QADIR TUMKO ATA FARMA DIYA..

Ye Khirka Mubarak Pehenne ke Bad Saiyedna Sarkar Gouse Azam رضی الله عنہ Par Bahut Zyada Anware Ilahi ka Nuzool Huwa..

📚(Humare Gouse Azam, Safa-76)
*******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(26)❤

*SHAIKH ABU SAEED MUBARAK MAHZAMI...*

Hazrate Abu Saeed Mubarak Mahzami رضی الله عنہ Ki Pedaishe Mubarak Baghdad Sharif me Huyi, Apka Naame Naami Isme Girami Mubarak Ibne Ali Ibne Hussain Bindaar Baghdadi Mahzami Hai Aur Qunniyat Abu Saeed Hai..

Aapne Apne Waqt Ke Behtareen Ulema-E-Kiram Aur Sufiya-E-Kiram Se Uloom-E-Diniya Hasil Kiya Yaha Tak Ki Fuqh-Wa-Hadees Aur Maqulat-Wa-Manqulat Me Mukammal Maharat Hasil Farmayi Aur Hadees Sharif ki Riwayat Qazi Abu Ya'ala Aur Aimma-E-Kiram Ki Ek Jama'at Se Hasil Ki Aur Fiqah Shaikh Abu Jafar Ibne Abu Moosa Se Padhi..

Fir Aap Hazrate Khawaza Shaikh Ibrahim Abul Hasan Ali Hankari Ke Mureed Aur Khalifa Huwe, Sultan-Ul-Auliya Hazrate Khawaza Abu Saeed Silsila-E-Aaliya Qadariya Ke 16ve Shaikhe Tarikat hai...

Aap Kuch Waqt Tak Qazi Ke Ohde Par bhi Rahe Fir Us Ohde Ko Tark Kar Diya Aap Hamesha Yaad-E-Ilahi Aur Ibadat-O-Riyazat Me Mashgool Rehte The, Apki Tawajjo Aur Muanka Me Itni Taseer Thi Ki Jispar Tawajjo Farma Dete Ya Jisse Apna Seena Mubarak Mila Dete To Woh Duniya Aur Mafiha Se Be'khabar Ho Jata tha..

Shaikh Abu Saeed Mubarak Mahzami رضی الله عنہ Apne Waqt ke Be'misal Faqeeh Aur Bahut Bade Imam The Aur Zahiri Batini Uloom ke Samundar The, Apko Ilme Munazra me Mukammal Maharat Hasil Thi..

Mazhab me Aap Humbali the Babul Azaz Baghdad Sharif ka Tarikhi Madarsa Aap hi Ne Qayam Farmaya Aur Apni Hayate Mubaraka Hi Me Us Madarsa Ko Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ko Sounp Diya...
******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(27)❤

*SHAIKH ABU SAEED MUBARAK MAHZAMI...*

Aap Farmate Hai ki shaikh Abdul Qadir Ne Mujse Ek Khirka Pehna Aur mene Unse ek khirka pehna Taki hum Ek Dusre se Barkat Hasil Kare, Hazrate Khawaza Abu Saeed Hazrate Khizr Aleyhissalam Ke Sath Rehne Walo Me Bhi The..

Sabr-Wa-Raza Aur Tasleem-Wa-Tawakkul Aur Tafweez Me Bhot Pakke The Aur Tajreed-Wa-Tafreed me Be'misal The Aur Wilayat Me Buland Martaba Rakhte The, Shaikh Abu Saeed Mubarak Mahzami رضی الله عنہ Ka Wisale Paak 27 Sha'ban 2 Shamba ke Din 513 Hijri Me Baghdad Sharif me Huwa Aur Ba'az Logo Ne 4 Sha'ban 10 Muharram Aur 7 Sha'ban 508 Hijri Bhi Likha Hai...

Shaikh Abu Saeed Mubarak Mahzami رضی الله عنہ Ka Mazare Mubarak Baghdad Sharif Me Apke Qayamkarda Madarsa Babul Azaz Me hai Jaha par Bahot Se Log Faiz Hasil Karne Ke Liye Hazir Hote hai...
****************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(28)❤

*SHAIKH ABU SAEED MUBARAK MAHZAMI...*

Tariqat Ke Silsile Ka Shajra Mubaraka Roohaniyat Ke Sar'chashma Janabe Muhammad Mustafa ﷺ Tak Ye hai..

Shaikh Huzur Gouse Azam Ne Khilafat Ka Khirqa Apne Peer-Wa-Murshid Aarife Billah Shaikh Abu Saeed Mubarak Mahzami Ne Apne Se Hasil Kiya Aur Shaikh Abu Saeed Mubarak Mahzami Ne Apne Shaikh Abul Hasan Ali Hankari Ne Apne Shaikh Aarife Aur Shaikh Abul Hasan Ali Hankari Ne Apne Shaikh Aarife Billah Shaikh Abul Farah Tartusi Se Hasil Kiya..

Aur Hazrate Abul Farah Tartusi Ne Shaikh Abu Bakr Shibli Se Hasil Kiya Abul Farah Tartusi Ne Shaikh Abu Bakr Shibli Se Hasil Kiya, Aur Hazrate Shaikh Shibli Ne Shaikh Abul Qasim Junaide Baghdadi Se Aur Shaikh Abul Qasim Junaid Baghdadi ne Shaikh Sarri sakhti Se Aur shaikh Sarri Sakhti Ne Aarife Haq Shaikh Maroof Kharki Se Hasik Kiya..

Aur Hazrate Shaikh Maroof Kharki ne Dawood Tayi Se Aur Unhone Shaikh Habeeb Azmi se Aur Unhone Saiyedna shaikh Hasan Basri Se Aur Unko Ameer-Ul-Momineen Saiyedna Ali-E-Murtuza Ne Pehnaya tha Aur Ali-E-Murtuza ko Saiyede Aalam ﷺ Ne Ye khirka Mubarak Aya Farmaya tha...

Isi Trah 12 Wasto Se Shaikh Jeelani Mehboobe Subhani Radiallahu anhu Ko woh Khirka-E-Iradat Hasil Huwa Jo Ek Murshide Qameel Apne Chune Huwe Mureed Khaas Ko Sirf Isliye Ata Karte hai ki Uske Bad Murshid ki Wa'az-Wa-Irshadat ki Tamam Zimmedariya Ab us Mureed-E-Khaas Ke Sipurd hai Aur wahi Uska Roohani Janasheen Hai..

Sarkare Gous-E-Azam رضی الله عنہ Jis Trah Manwi-Wa-Roohani Tor Par 12 Wasto Se Huzur Akram ﷺ Ke Daman-E-Karam Wa Faize Atam Se Wabasta Hai,Isi Trah Nasabi Tor par Bhi Hazrate Shaikh Jeelani 12 Hi Wasto se Huzur Akram ﷺ Ke Bete Hone Ke Rishte me Judd Jate Hai...
رضی الله عنہ
رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ

📚(Humare Gouse Azam, Safa-78/79)
*******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(29)❤

MADARSA KA MALIK HONA AUR PADHANA...

Hazrate Qazi Abu Saeed Mubarak Mahzami Ka baghdade Muqaddas Me Ek Bahut Hi Bada Madarsa Bhi Tha Jisme Woh Wa'az-Wa-Irshad Ke Alawa Ilme deen Ke Pyaaso ki Pyaas Bhi Bujhaya Karte The, Qazi Sahab Ko Jab Apke Roohani Fazl-Wa-Kamal Wa Ilmi Qabiliyat-Wa-Salahiyat Ka Andaza Ho Gaya To Hijri 521 Me Apna Madarsa Aap Hi Ke Hawale Kar Diya...

Thode Hi Waqt me Apke Fazlo Kamalat Aur Ilm Ki Sohrat Door-Door Tak Feil Gayi Aur Charo Taraf Se Ilm ke Pyase apni Pyaas Bujhane Aane lage, Hatta ki Madarsa Apni Tamam Wus'ato Ke Ba'wajood Tang Ho Gaya..

Halat Ke Peshe Nazar Huzur Gouse Azam Ne Aas-Pas Ke Makanat Kharidkar Madarse Me Shamil Kar Liye Aur Naye Sire Se Madarse Ki Ta'meer Karayi Aur Ab yeh Madarsa apke Naam se Mashoor Ho Gaya Jo Aaj Bhi Isi Naam Se Mojud hai...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-78/79)
*******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(30)❤

*MADARSA KA MALIK HONA AUR PADHANA...*

Hazrate Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Hijri 528 Me Madarse Ki Tameere Jadeed Se Faragat Payi Aur Door-Door Se Log Apse Ilm Hasil Karne Aane Lage Aur Yaha Se Farig Hokar Sanad Lene Ke bad Mukhtalif Mulko Me Jate Aur Khalke Khuda ki Islah Karte Aur Deen-E-Islam Ki Tabligh  Farmate..

Is Trah Thodi Si Muddat Me Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Ilmi Fuyooz-O-Barkat Se Ulema-E-Kiram Aur Buzurgane Deen ki Ek Bahut Badi Jama'at Taiyar Ho Gayi Jo Door-Door Ke Sehro Aur Mulko Me Jakar Achi Bato Ka Huqm dene Aur Buri Bato se Rokne Ka Farz Ada Karne Lage Jisse Allah Taa'la Ke lakho Bando ko Deen-E-Islam Ki Hidayat Naseeb Huyi..

Ilme Deen Padhane Ke Sath-Sath Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Awam Ke Liye Wa'az Ki Majlees Bhi Qayam Farma Di thi Taki Awam Bhi Huzur Poor Noor Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Faize Aam Se Mehroom Na Rahe Aur Tablighe Islam Ka Silsila Khoob Fail Jaye...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-79/80)
******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (24)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(24)

*SARKARE GOUSE AZAM رضی الله عنہ KI IBADATE..*

Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki ibadat aur riyazat ka andaza issi baat se lagaya jaa sakta hai ke Aapne 40 saal tak pabandi se isha ke wazu se fajr ki namaz adaa farmate rahe 15 saal tak Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne isha ki namaz ke baad se fajr taj poora quraan e pak tilawat farmaya aur 25 saal aapne jungalo mein aise bitaye ke naa koi aap ko pehchanta tha aur naa aap kisiko pehchante the.

Zaahir hai ke jo mard e haqq duniya aur duniyawalo se aise beparwah ho gaya ho aur iss tarah zindagi basar kar raha ho to uski mashgooliyat Allah ﷻ ki ibadat aur riyazat ke siva kya hogi.

📚(Humare Gouse Azam, Safa-75)

Allah ﷻ apne Pyare Habeeb Do Jahaañ ke Tabib Malik o Mukhtar Janab e Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke sadke aur peerane peer dastageer Huzoor Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke sadke tufail sab ki jaaez murado ko poora farmaye aur hum sab ahle iman ka hashr sarkar ﷺ ke qadmon mein arsh ke saaye mein aur Gaus e Pak رضي الله عنه ke jhurmoot mein ho.
  آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
*****************
Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

Sunday 31 December 2017

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (13)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(13)

*SARKAR GOUS-E-AZAM رضي الله تعالي عنه KI BISMILLAH KHAWANI....*

Mashoor riwayat hai ki jabh Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki umr shareef 4 saal ki huwi to islami rasmo riwaj ke mutabik walid e muhtaram Saiyyaduna Shaikh Abu Saleh رضي الله عنه aapko rasme Bismillah khwani ki adayegi aur maqtab mein dakhil karane ki garz se le gaye

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ko ustad ne kaha parho beta " بسم الله الرحمن الرحيم " Aapne Bismillah Shareef parhne ke saath saath Alif Laam Meem se lekar muqammal 18 paare quraan e paak ke munh zabani parh liye, ustad ne hairat ke saath daryaft kiya ki ye tumne kabh parha aur kaise yaad kiya?

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne farmaya meri walida majida 18 paaro ki haafiza hai jinka wo aksar wird kiya karti thi jab Main maa ke pet mein tha ye 18 paare sunte sunte mujhe yaad bhi ho gaye.

Aapne 7 saal ki umr e paak mein Qur'an e Paak hifz kar liya, Aapke walid e majid ka inteqaal aap ki bahot chhoti si umr mein ho gaya to Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه ki aur Aapke chhote bhai Hazrat Abu Ahmad Abdullah رضي الله عنه ki parvarish talim aur tarbiyat ka saara intezaam aap ki walida majida ne hi farmaya Hazrate Abu Ahmad رضي الله عنه ka inteqal bhi naujawani mein ho gaya phir Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne 18 saal ki umr e pak tak Jeelan Shareef mein reh kar mukhtalif darsgaaho mein ta'lim haasil ki.

Ref. .. # Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
*********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(14)❤

*DEENI ULOOM HASIL KARNE KI KHATIR JEELAN SE SAFAR.....*

Abhi Sarkar Gous-e-azam رضي الله تعالي عنه Kamsin hi the Ki Walide Girami Hazrate Shaikh Abu Saleh رضي الله تعالي عنه Ka Inteqal Ho gaya, Fir Sarkare Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Aur Apke Chote bhai Abu-Ahmed Abdullah Rehmatullah Alayhi Ki Parvarish Aur Taleem wa Tarbiyat Ka Sara Intezam Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ki Walida ne  Hi Kiya ...

Hazrate Abu Ahmed Abdullah To Noijawani Me hi Inteqal Farma Gae Magar Sarkar Gous-E-Paak Apne Watan Jeelan Sharif Me Rehkar 18 Saal ki Umar Sharif Tak Mukhtalif Darsgaho Me Hazir hokar Apne Ustado Se Ilm Hasil Karte Rahe....

7 Baras ki Umar Sharif Me Quran Majeed Hifz Kar liya Fir Uloom-E-Arbiya Ke Hasil Karne me Mashgool Ho gae, Aur Sath Hi Sath Aapko Apni Zameen Aur Ghar ke Dusre Kamo Ko Sambhalna Padta tha Aur in Kamo se Farigh Hokar jo Waqt Milta Tha Use Walida Muhtarma Ki Khidmat me Sharf Kar dete the...

Zindagi Isi Trah Chal Rahi thi ki Ek Martaba Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Be Khayal Kiya ki Rozi Hasil Karne ke liye Hume kuch Karna chahiye, Chunache Ek Din Hall Aur Bail Lekar Khet ki Taraf Chale To Raste Me Bail Ne Mudkar Arz kiya Ki "AYE ABDUL QADIR AAP IS LIYE NAHI PAIDA KIYE GAE AUR NA APKO ISKA HUQM DIYA GAYA HAI" Tab Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Darr Kar Apne Maqan Par Lout Aaye Aur Maqan Ki Chatt Par Chad Gae....

Us Waqt Allah Taa'la Ne Sarkar Gpus-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ke Samne se Sare Pardo ko Hata-Diya To Huzue Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Dekha ki Haji Log Arfat Ke Medan me Khade hai Fir Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Apni Walida Ke Pas Hazir hue Aur Arz kiya Aap Muje Allah Ke Liye Apna Haq Baksh Dijiye Aur muje Izazat Dijiye ki Me Baghdad Jakar Waha Ilm Hasil Karu Aur Buzurgo ki Ziyarat Karu.....
*****************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(15)

HUSUL-E-ILM AUR APKE USTAD HAZRAAT...

Baghdad Pahuckar Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Waha ke Mashoor Madarsa Arabiyya-Jamiya-Nizamiya Me ek Taleeb-E-Ilm Ki Hesiyat se Dakhil Hue Aur Bade-Bade Mashoor Ulema-E-Kiram ki Darsgah Me Hazir hokar Ilme Deen Muqammal Farmaya....

Hazrat Allama Abu-Zakariya Yahya Ibne Ali se Arabi Zaban Hasil ki Aur Hazrat Allama Ali Ibne Aqeel Aur Muhammad Ibne Qazi Abu Yala Aur Qazi Abu Saeed Mehzami Wagerah Ulemae Kiram Se Fiqh Aur Usool-E-Fiqh Ki Taleem Hasil Ki...

Aur Hazrate Allama Abu Galib Muhammad Ibne Hasan Baqilani Wagerah Takriban 17 Muhaddisin-E-Kiram Ki Darsgaho me Hazir hokar Ilme Hadees Padhkar Mukammal Maharat Hasil Farmai Aur Tamam Raeez Uloom Me Puri-Puri Maharat Hasil Kar li Aur Apne Dour Ke "AALIM-E-BE-MISAL" Ban Gae Aur Har Taraf Apke Ilmi Kamal Ka Sikka Beth Gaya.....

Chunache Khud Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Apne Qaseeda-E-Gousiya Me Irshad Farmate hai Jiska Tarjuma Ye hai ki

ME ILM PADHTA RAHA YAHA TAK KI QUTUB HO GAYA AUR TAMAAM MOULA-O-KE MOULA ALLAH AZZWAZAL KI TARAF SE MUJE BHALAI KE KHAZANE HASIL HO GAE"

🌹 Subhan ALLAH 🌹
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(16)

*ULOOM-E-BATINI....*

Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Uloom-e-Zahiri ko Hasil Karne ke Bad Uloom-E-Batini Ki Taraf Mutawajjah Hue, Chunache Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Hazrat Shaikh Hammad Ibne Muslim Dabbas رضي الله تعالي عنه  Se Uloom-E-Batini Ka Jyada Hissa Hasil Kiya....

Ye Hazrat Shaikh Hammad Ibne Muslim Dabbas Bagdad Sharif Ke Mashoor Buzurgo Me se the Aur Bahut Bade Allah Ke Wali The Us Dour Ke Bahut Sufiya-E-Kiram Ilme Tariqat Me Unke Shargird The,

Hazrate Shaikh Hammad Logo me Shaikh Dabbas Ke Laqab se Mashoor The Kyonki Dabbas ke Maana Hai Angur Ka Shira Bechne Wala,

Hazrat Shaikh Hammad Angur Ka Shira Bechte The Isi Liye Logo me Shaikh Dabbas Se Mashoor Ho Gae Apki Ek Mashoor Karamat Ye hai ki Apke Shira Par Kabhi Kisi Qism ki Makhhi Nahi Bethti thi Aur Apka Shira Nihayat Paak Wa Saaf hota tha....

🌹 SUBHAN ALLAH 🌹
**********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(17)

*MUJAHIDA-WA-RIYAZAT....*

3 Saal Ki Muddat Guzar Jane ke Bad Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apne Nafs Ko Intihai Mashakkat Aur Ja-feshani Ki Bhatti Me daal Diya Aur Ek Saal Tak Apne Kbhi Pani hi Nahi Piya Sirf Jungli Saag-Wa-Paat Par Guzar Farmate Rahe fir Ek Saal Tak Faqat Pani Par Guzara Kiya Khana Chod Diya...

Teesre Saal Khana Pina Sona Har Shey Se Nafs Ko Mehrum Kar diya, Jis Zamane Me Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Riyazat Aur Mujahida Nafs Ke Dushwar Marhale Tay Farma Rahe the To Iblees Ki Shetaniyat Aur Zyada Bhadak Uthi...

Ab Tak Har Mod par Shetan Aapse Shikast Kha Chuka tha Aur Apne Kisi Fareb Me Apko Nahi La Saka tha Hattaki Aap Roohaniyat Ke Baland Martabe Hasil Karte Ja rahe the Aur Ye Shetan se Dekha Na Ja Raha tha Yaha Tak ki Ek Din Paraganda Surat Banae Hue Aur Badbudar Libas Odhe Hue Apki Khidmat Me Aakar Kehne Laga Me Iblees hu Me Zamaat Me Tamaam Afrad Ko Apne Aaziz Wa Nakam Kar diya Hai...

Apne Sare Hathkande Istemal Kar chuka Hu Magar Apki Sabit-Kadami Me Jara Bhi Lagzish Na Aai Lihaza Mene Haar Maan Li Aur Ab Apki Khidmat Me Rehna Chahta hu, Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه  Ne Farmaya "LA-HOLL-WALA-QUWWAT" Zaleem Me to Kisi Trah Tujhse Mutmaeen Nahi Ho Sakta Teri Ye Bate Sarapa Fitna hai Jisme Tu Muje Mulawwis Karna Chahta hai...

Abhi Apka Jawab Khatm Bhi Na Hua tha Ki Parda-E-Gaib se Ek Hath Namudar Hua Aur Is Shiddat ke sath Iblees Ke Ser per Pada Ki Wo Zameen Ke Andar Dhasta Hua Gayab Ho Gaya....
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(18)

*MUJAHDA-WA-RIYAZAT....*

Cont...

Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Mukammal Tor par Uloom Zahiri Hasil Karne ke Bad Uloom e Batini Ke Husool Ki Ibteda ki Aur Mujahda Wa Riyazat Ki Intehai Mushkil Wa Purkhawar(Kanto se Bhari Hui) Raho me Kadam Rakha...

Chunache Aap Sehar Chodkar Irak ki Weeran Wadiyo Me Tanhai Me Zindagi Basar Karne Lage Taki Kameel Tanhai Mile, Jese hi Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apni Mujahidana Zindagi Ka Aagaz Kiya To Allah Taa'la Ka Fazl Jo Shuru Hi se Apke Sath Tha Aur Jyada Ho gaya....

Hazrate Khizr Aleyhissalam bhi Apke Humsafar Ho gae Magar Allah Taa'la Ki Marzi Se Jab Tak Allah Taa'la Ne Chaha Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Hazrate Khizr Aleyhisalam Ko Nahi Pehchana Bil-Akhir Saiyedna Khizr Aleyhisalam Ne Khud Hi Apne aap ko Zahir Kar diye Aur Wada Liya Ki Aap Unki Mukhalifat Nahi Farmaenge....

Wade ke Sath-Sath Hazrate Khizr Aleyhissalam Ne Farmaya Ki Isi Jagah Aap Rahiye Jab Tak Ki Me Vapas Na Aa Jau Isi Maqam Par Rahiyega, Itna Farmakar Hazrate Khizr Aleyhissalam Chal Diye Aur 1 Saal Bad Wapas Loute Dobara Fir Yahi Takeed Ki Aur Chale Gae...

Isi Aalam Me Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne 3 Saal Guzare Hazrat Khizr Aleyhisalam Har Saal Aate Aur Yahi Hidayat Farmakar Vapas Lout Jate Is Lambi Muddat me Dunia ki Be-Shumar Khawahishat Haseen-wa-Dilkash Shaklo Me Apko Apni Janib Mutawajjah Karti rahi Magar Allah Taa'la Ke Fazlo Karam se Dunia Aur Dunia ki Haseen-Wa-Dilkash Cheeze Apko Apni Taraf Maeel Na Kar saki...

🌹 Subhan ALLAH 🌹
******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(19)

*MUJAHDA-WA-RIYAZAT....*

Dobara Iblees Aag Ka Shola Lekar Apke Kareeb Aya Apne Is Taiyari Ke Sath Hamla-Aawar Dekha to Padha "AAUZU-BILLAHI-MINAS-SHETANIRRAJEEM" Wo Chala gaya Aur Kuch Hi Lamho Ke Bad Fir Palat Kar Aya Aur Fouran Apke Upar Hamla Awar Hua, Fouran hi Ek Sawar Namudar Hua Aur Shaikh Jeelani Ke Hath Me Ek Talwar De di Jise Dekhkar Iblèes Gayab Ho gaya....

Teesri Bar Iblees Makro-Fareb Ke Sath Aya, Apne dekha Ki Apse Door Pareshan Haal Afatzada Khaeeb-Wa-Khaseer ki Surat Banae Betha Hua Ro Raha tha Apki Nazar Padi To Iblees Kehne Laga Ki Ab Aap Muje Kyu dekh Rahe ho Ab To Me Apse Na Ummid Ho Chuka hu...

Sarkare Jeelan رضي الله تعالي عنه Ne Fir Taauz Farmaya Aur Farmaya ki Me Kisi Haal me Mutmaeen Nahi hu Sarkar Jeelani رضي الله تعالي عنه  ki Ye Sabit-Kadmi Dekh kar Iblees Ne shirke Khafi Ke Beshumar Jaal Apke Samne Bicha Diye Lekin Kudrat Ko Sarkare Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ki Hifazat Manzur thi....

Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Shetan Ke Bichae Hue Tamaam Jaal Kaat diye Uske Bad Iblees Ne Makhluk Ki Muhabbat Aur Dunyawi Rishto ke Tallukati Jaal Bichai Magar Fazle Rabbani Se Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه  Ne Katai Tawajjo Na Di Aakhir Ek Saal ke Bad Tamaam Dunyawi Rishte Wa Muhabbat Ke Jaal Bhi Taat-Taar Ho Gae Aur Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Is Katheen Manzil Se bhi Paar ho Gae....

🌹 SUBHAN ALLAH 🌹
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(20)

MUJAHDA-WA-RIYAZAT....

Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه Ye Tamaam Manzile Tay Karne ke Bad Jab Bagdad Sharif Me Vapas Aaye To Fitna Fasad Ke Mahol Ko Dekhkar Sarkar Gous-E-Paak Ki Tabiyat Na Lagi Aur Bagdad Sharif Se Chale Jane ka Irada Kiya....

Chunache Ek Din Gale me Quran-E-Kareem Dale Kar Muhalle-Halab Ke Darwaze Se Nikal Pade to Fouran Sadae Gaibi Jo Har Aan Apki Rehnumai Karti Rahi Is Khayal se Baaz Rakhne Ke Liye Harqat me Aai Aur Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apne Mubarak Kano Se Suna Vapas Jao Tumhari Zaat ae Makhluk Ko Baghdad Hi se Fayda Pahuchega...

Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ne Jawab Me Kaha ki Makhluk Ka Mujhpar Kya Haq hai Ki Me Uski Khatir Is Fitna wa Fasad Ke Sehar me Rahu, Me to Yaha se Isi Liye Jana Chahta hu Taki Apne Deen Wa Imaan Ki Hifazat Kar Saku....

Fir Gaibi Aawaz Aai

"TUM BEHTER HO UN SAB UMMATO ME JO LOGO ME ZAHIR Hui Bhalai Ka Huqm Dete ho Aur Burai Se Mana Karte ho Aur Allah Par Imaan Rakhte ho, Makhluk Ka Tumhare Upar Bhut Bada Haq hai Usko Hidayat Dena Tumhari Zimmedari hai Tum Isi Jagah Par Raho Allah Taa'la Tumhare Deen Wa Imaan Par Ki Hifazat Farmaega Sarkare Jeelan Ne is Muqaddas Farman ki Ita'at Karte hue Mustakik Qayam Ka Pakka Irada Farma Liya Aur Itminan Se Us Waqt ka Intezar Karne lage Jisme Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ki Zaat se Allah Taa'la Ki Makhluk ko Aam Fayda Pahuchna Tha.....
*************&&&&&&
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(21)

*SARKAR GOUSE PAAK KA MUJAHIDA-WA-RIYAZAT...*

⬇Cont..

Chunache Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Apne Jadde Akram Huzur Saiyede Aalam ﷺ Ko Dekha Aap Irshad Farma Rahe the Ki "Aye Mere Pyare Bete Tu Wa'aaz Kyu Nahi Farmata Huzur Gouse Azamرضی الله عنہ  Ne Arz Kiya Aye Mere Pyare Baap Me Ek Azmi Aadmi Hu Arab Ke Behtarin Guftagu Karne Walo Ke Samne Kyunkar Bol Sakta hu...

Huzur Saiyade Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Munh Khol Huzur ﷺ Ne 7 Martaba Apna Lua'ab Sharif Huzur Gouse Azam Ke Mubarak Munh Me Dala Aur Irshad Farmaya Tu Logo ko Apne Rabb ki Taraf Bula Hiqmat Aur Achi Nasihat Ke Sath..

Huzue Gouse Azam رضی الله عنہ Irshad Farmate hai Ki Uske Bad Me Namaze Zohar Padhkar Takrir Karne ke Liye Betha Logo ka Bahut Bada Majma Ho Gaya To Me Takrir Na Kar Saka Fir Hazrat Moula-E-Qaynat Janabe Haidare Qarrar Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ko Dekha Ki Us Majlis ke Aakhir me Tashrif Farma hai Aur Farmate hai "AYE PYARE BETE TU QALAM KYU NAI KARTA" Sarkar Gouse Paak ne Arz kiya Aye Walide Girami Meri Zuban Band ho Gayi hai..

Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne Farmaya Munh Kholo Huzur Gouse Azam ne Munh Khola To Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne 6 Martaba Apna Munarak Thook Dala Huzur Gouse Azam Ne Arz kiya Aapne 7vi Bar Kyu Nahi Dala..

Hazrat Ali رضی الله عنہ Ne Irshad Farmaya Huzure Aqdas ﷺ Ke Sath Adab Ki Wajah Se Uske Bad Ilm Ke Samundar ne Huzur Gouse Paak Ke Muqaddas Seene se Zabane Paak Par Mouje Mari Aur Bila Takalluf Mukammal Rawani Aur Be'Banawat Ke Sath Itni Behtareen Guftagu Aur Takrir Farmane Lage Ki Arab ke Bade-Bade Behtareen Guftagu Karne Walo Ne Humare Aqa Huzur Purnoor Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Samne Apni Badhayi Ki Topiya Bilkul Utaar di Ye Allah Ka Fazl hai Jise Woh Chahta hai Deta hai Aur Allah Bade Fazl Wala hai...

Iske Bad Thode Hi Zamane me Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Wa'az Me Log Zyadti Ke Sath Shamil Hone Lage Yaha Tak Ke Jab Babul Halba Ke Musalla me Gumjaish Nahi Rahi To Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ ka Mimbar Sharif Sehar Se Bahar Eid Gaah Me Bichaya Gaya Waha bhi Log Wa'az Sunne Ke Shokh me Ghodo, Khaccharo, Gadho, Aur Ounto Par Sawar Hokar Aya Karte the Aur Hazrine Majlis Ki Ta'dat 70,000/- Tak Ho Jaya Karti thi...

Huzur Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Har Majlise Mubarak Me Kitne Log Apne Gunaho se Touba Karte, Rehzan Apno Rehzani se Touba Karte, Gumrah Apmi Gumrahi Se Touba Karte, Badmazhab Apni Badmazhabi se Touba Karte Yaha Tak Ki Kabhi Kabhi Kuffaro Mushrikin Apne Kufro Shirk Se Touba Karke Musalman Ho Jate..

Chunache Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Shargird Hazrate Shaikh Abdullah Zubayi Ka Bayan Hai Ke Humare Shaikh Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Takrir Se Muttasir Hokar 1 Lakh Se Zyada Fasiko Fajir Aur Gumrah Logo ne Apke Mubarak Hatho Par Touba Ki Aur Hazaro Yahoodi Aur Isayi Mazhabe Islam Me Dakhil Huwe...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-72)

Ajam kaisa Arab, Hil kya Haram meiñ,
Jami har jaa teri mehfil hai Ya Gaus.❤

Tera hil hai tera haram Gaus e Aazam,
Arab tera tera ajam Gaus e Aazam.❤
********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(22)

Akhrabul Akhyar Sharif Me Khud Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ka Bayan Mankool Hai Ki Huzur Farmate hai Ki Meri Khawaish Hoti hai Ki Hamesha Tanhayi me Rahu Jungle Aur Biyaban Mera Makan Ho Na Makhlook Muje Dekhe Na Me Makhlook Ko Dekhu Lekin Allah Taa'la Ko Apne Bando Ki Bhalayi Manzoor hai...

Yahi Wajah Hai Ki Mere Hath 5000 Se Zyada Isayi Aur Yahoodi Musalman Ho Chuke hai Aur 1 Lakh Se Zyada Badkar Aur Gunaho Me Mubtila Log Touba Kar Chuke hai Aur Yeh Allah Taa'la Ka Khaas Fazlo In'aam Hai..

Sarkare Jeelan Ke Wa'az-Wa-Takrir Me Bhala Yeh Taseer Kyunkar Paida Na Hoti Jabki Aapne Deeni Uloom Me Kafi Maharat Hasil Kar Li thi, Ibadat-Wa-Riyazat Ke Zariye Apne Nafs Ko Paak Kar Liya tha Taqwa-Wa-Parhezgari, Rooh Ki Safayi Aur Woh Aamal Jinke Dikhawa Na ho Jesi Sifate Aaliya Se Muzaiyyan Ho Chuke The..

Iske Alawa Huzur ﷺ Aur Hazrate Ali رضی الله عنہ Ki Nazre Shaf'qat Wa Rehmat Aur Serparasti Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Sath Shameel Thi, In Ilmi Wa Amali Aur Roohani Faizan Ke Sath Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Wa'az Wa Nasihat Aur Hidayate Khalk ka Azeem'Ush'shaan Tablighi Kaam Shuru Kiya tha..

📚(Humare Gouse Azam, Safa-74)
******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(23)

SARKAR GOUSE PAAK KA MUJAHIDA-WA-RIYAZAT...

⬇Cont..

Islami Rehbar-Wa-Rehnuma Banne Ke liye Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Kuch Sharait Bayan Farmaye Hai Aur Woh Ye hai...

JISE DEEN KE ULOOM HASIL HO TASAVVUF-WA-MARFAT KE BHEDO SE WAQIF HO BALKI UNKA MUSHAHIDA KAR CHUKA HO AUR TAJURBEKAR BHI HO, IN KHUSUSIYAT KE SATH ISLAM KA MUKAMMAL ILM-WA-AMAL BHI HO, USI KE LIYE ALLAH KI MAKHLOOK KO HIDAYAT KA KAAM KARNA THEEK HE..

Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne In Sharait Ko Bayan Farmane Ke bad Muqtadaye Auliya Saiyedut'taifa Hazrate Junaid Baghdadi رضی الله عنہ Ka Yeh Mubarak Qoul bhi Naql Farmaya Hai..

Humari Zindagi Qur'an-Wa-Hadees Ke Dayre me Ghiri Huyi hai Jo Saksh Qalame Ilahi-Wa-Ahadeese Nabawi Ka Aalim Ho Deeni Samaj Wa Farasat Rakhta Ho Khuloose Amal Ka Paikar ho Aur Tasavvuf-Wa-Marifat ke Bhedo se Ba'khabar ho Aur In Tamam Manzilo Se Guzar Chuka Ho Sirf Usi Saksh Ko Deeni Rehbari-Wa-Peshwai Ki Masnad Zaib De Sakti hai...

In Ausaf-Wa-Qamalate Roohani Fuyooz-O-Barkate Rabbani Se Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Malamal Hokar Masnade Irshad Wa Hidayat Par Rounak Afroz Huwe...

HIDAYAT:-

Sarkare Gouse Azam Aur Hazrate Junaid Baghdadi رضی الله عنہ Ke Irshadate Girami Un Hazraat Ke Liye Nasihat-Wa-Hidayat Ka Umda Zariya Hai Jo Na Molvi Hai Na Aalim hai Aur Bina Ilme Deen Hasil Kiye Wa'az-Wa-Takrir Karte hai Ye Log Shariyat se Kore Hokar Haqiqat-Wa-Marifat Ki Jhooti Numaish Karke Awam Ko Shariyat Se Door Karte hai Halanki Shariyat ki Asal hai....

📚(Humare Gouse Azam, Safa-74/75)
******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH