Sunday, 31 December 2017

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (13)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(13)

*SARKAR GOUS-E-AZAM رضي الله تعالي عنه KI BISMILLAH KHAWANI....*

Mashoor riwayat hai ki jabh Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki umr shareef 4 saal ki huwi to islami rasmo riwaj ke mutabik walid e muhtaram Saiyyaduna Shaikh Abu Saleh رضي الله عنه aapko rasme Bismillah khwani ki adayegi aur maqtab mein dakhil karane ki garz se le gaye

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ko ustad ne kaha parho beta " بسم الله الرحمن الرحيم " Aapne Bismillah Shareef parhne ke saath saath Alif Laam Meem se lekar muqammal 18 paare quraan e paak ke munh zabani parh liye, ustad ne hairat ke saath daryaft kiya ki ye tumne kabh parha aur kaise yaad kiya?

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne farmaya meri walida majida 18 paaro ki haafiza hai jinka wo aksar wird kiya karti thi jab Main maa ke pet mein tha ye 18 paare sunte sunte mujhe yaad bhi ho gaye.

Aapne 7 saal ki umr e paak mein Qur'an e Paak hifz kar liya, Aapke walid e majid ka inteqaal aap ki bahot chhoti si umr mein ho gaya to Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه ki aur Aapke chhote bhai Hazrat Abu Ahmad Abdullah رضي الله عنه ki parvarish talim aur tarbiyat ka saara intezaam aap ki walida majida ne hi farmaya Hazrate Abu Ahmad رضي الله عنه ka inteqal bhi naujawani mein ho gaya phir Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne 18 saal ki umr e pak tak Jeelan Shareef mein reh kar mukhtalif darsgaaho mein ta'lim haasil ki.

Ref. .. # Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
*********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(14)❤

*DEENI ULOOM HASIL KARNE KI KHATIR JEELAN SE SAFAR.....*

Abhi Sarkar Gous-e-azam رضي الله تعالي عنه Kamsin hi the Ki Walide Girami Hazrate Shaikh Abu Saleh رضي الله تعالي عنه Ka Inteqal Ho gaya, Fir Sarkare Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Aur Apke Chote bhai Abu-Ahmed Abdullah Rehmatullah Alayhi Ki Parvarish Aur Taleem wa Tarbiyat Ka Sara Intezam Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ki Walida ne  Hi Kiya ...

Hazrate Abu Ahmed Abdullah To Noijawani Me hi Inteqal Farma Gae Magar Sarkar Gous-E-Paak Apne Watan Jeelan Sharif Me Rehkar 18 Saal ki Umar Sharif Tak Mukhtalif Darsgaho Me Hazir hokar Apne Ustado Se Ilm Hasil Karte Rahe....

7 Baras ki Umar Sharif Me Quran Majeed Hifz Kar liya Fir Uloom-E-Arbiya Ke Hasil Karne me Mashgool Ho gae, Aur Sath Hi Sath Aapko Apni Zameen Aur Ghar ke Dusre Kamo Ko Sambhalna Padta tha Aur in Kamo se Farigh Hokar jo Waqt Milta Tha Use Walida Muhtarma Ki Khidmat me Sharf Kar dete the...

Zindagi Isi Trah Chal Rahi thi ki Ek Martaba Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Be Khayal Kiya ki Rozi Hasil Karne ke liye Hume kuch Karna chahiye, Chunache Ek Din Hall Aur Bail Lekar Khet ki Taraf Chale To Raste Me Bail Ne Mudkar Arz kiya Ki "AYE ABDUL QADIR AAP IS LIYE NAHI PAIDA KIYE GAE AUR NA APKO ISKA HUQM DIYA GAYA HAI" Tab Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Darr Kar Apne Maqan Par Lout Aaye Aur Maqan Ki Chatt Par Chad Gae....

Us Waqt Allah Taa'la Ne Sarkar Gpus-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ke Samne se Sare Pardo ko Hata-Diya To Huzue Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Dekha ki Haji Log Arfat Ke Medan me Khade hai Fir Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Apni Walida Ke Pas Hazir hue Aur Arz kiya Aap Muje Allah Ke Liye Apna Haq Baksh Dijiye Aur muje Izazat Dijiye ki Me Baghdad Jakar Waha Ilm Hasil Karu Aur Buzurgo ki Ziyarat Karu.....
*****************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(15)

HUSUL-E-ILM AUR APKE USTAD HAZRAAT...

Baghdad Pahuckar Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Waha ke Mashoor Madarsa Arabiyya-Jamiya-Nizamiya Me ek Taleeb-E-Ilm Ki Hesiyat se Dakhil Hue Aur Bade-Bade Mashoor Ulema-E-Kiram ki Darsgah Me Hazir hokar Ilme Deen Muqammal Farmaya....

Hazrat Allama Abu-Zakariya Yahya Ibne Ali se Arabi Zaban Hasil ki Aur Hazrat Allama Ali Ibne Aqeel Aur Muhammad Ibne Qazi Abu Yala Aur Qazi Abu Saeed Mehzami Wagerah Ulemae Kiram Se Fiqh Aur Usool-E-Fiqh Ki Taleem Hasil Ki...

Aur Hazrate Allama Abu Galib Muhammad Ibne Hasan Baqilani Wagerah Takriban 17 Muhaddisin-E-Kiram Ki Darsgaho me Hazir hokar Ilme Hadees Padhkar Mukammal Maharat Hasil Farmai Aur Tamam Raeez Uloom Me Puri-Puri Maharat Hasil Kar li Aur Apne Dour Ke "AALIM-E-BE-MISAL" Ban Gae Aur Har Taraf Apke Ilmi Kamal Ka Sikka Beth Gaya.....

Chunache Khud Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Apne Qaseeda-E-Gousiya Me Irshad Farmate hai Jiska Tarjuma Ye hai ki

ME ILM PADHTA RAHA YAHA TAK KI QUTUB HO GAYA AUR TAMAAM MOULA-O-KE MOULA ALLAH AZZWAZAL KI TARAF SE MUJE BHALAI KE KHAZANE HASIL HO GAE"

🌹 Subhan ALLAH 🌹
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(16)

*ULOOM-E-BATINI....*

Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Uloom-e-Zahiri ko Hasil Karne ke Bad Uloom-E-Batini Ki Taraf Mutawajjah Hue, Chunache Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Hazrat Shaikh Hammad Ibne Muslim Dabbas رضي الله تعالي عنه  Se Uloom-E-Batini Ka Jyada Hissa Hasil Kiya....

Ye Hazrat Shaikh Hammad Ibne Muslim Dabbas Bagdad Sharif Ke Mashoor Buzurgo Me se the Aur Bahut Bade Allah Ke Wali The Us Dour Ke Bahut Sufiya-E-Kiram Ilme Tariqat Me Unke Shargird The,

Hazrate Shaikh Hammad Logo me Shaikh Dabbas Ke Laqab se Mashoor The Kyonki Dabbas ke Maana Hai Angur Ka Shira Bechne Wala,

Hazrat Shaikh Hammad Angur Ka Shira Bechte The Isi Liye Logo me Shaikh Dabbas Se Mashoor Ho Gae Apki Ek Mashoor Karamat Ye hai ki Apke Shira Par Kabhi Kisi Qism ki Makhhi Nahi Bethti thi Aur Apka Shira Nihayat Paak Wa Saaf hota tha....

🌹 SUBHAN ALLAH 🌹
**********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(17)

*MUJAHIDA-WA-RIYAZAT....*

3 Saal Ki Muddat Guzar Jane ke Bad Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apne Nafs Ko Intihai Mashakkat Aur Ja-feshani Ki Bhatti Me daal Diya Aur Ek Saal Tak Apne Kbhi Pani hi Nahi Piya Sirf Jungli Saag-Wa-Paat Par Guzar Farmate Rahe fir Ek Saal Tak Faqat Pani Par Guzara Kiya Khana Chod Diya...

Teesre Saal Khana Pina Sona Har Shey Se Nafs Ko Mehrum Kar diya, Jis Zamane Me Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Riyazat Aur Mujahida Nafs Ke Dushwar Marhale Tay Farma Rahe the To Iblees Ki Shetaniyat Aur Zyada Bhadak Uthi...

Ab Tak Har Mod par Shetan Aapse Shikast Kha Chuka tha Aur Apne Kisi Fareb Me Apko Nahi La Saka tha Hattaki Aap Roohaniyat Ke Baland Martabe Hasil Karte Ja rahe the Aur Ye Shetan se Dekha Na Ja Raha tha Yaha Tak ki Ek Din Paraganda Surat Banae Hue Aur Badbudar Libas Odhe Hue Apki Khidmat Me Aakar Kehne Laga Me Iblees hu Me Zamaat Me Tamaam Afrad Ko Apne Aaziz Wa Nakam Kar diya Hai...

Apne Sare Hathkande Istemal Kar chuka Hu Magar Apki Sabit-Kadami Me Jara Bhi Lagzish Na Aai Lihaza Mene Haar Maan Li Aur Ab Apki Khidmat Me Rehna Chahta hu, Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه  Ne Farmaya "LA-HOLL-WALA-QUWWAT" Zaleem Me to Kisi Trah Tujhse Mutmaeen Nahi Ho Sakta Teri Ye Bate Sarapa Fitna hai Jisme Tu Muje Mulawwis Karna Chahta hai...

Abhi Apka Jawab Khatm Bhi Na Hua tha Ki Parda-E-Gaib se Ek Hath Namudar Hua Aur Is Shiddat ke sath Iblees Ke Ser per Pada Ki Wo Zameen Ke Andar Dhasta Hua Gayab Ho Gaya....
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(18)

*MUJAHDA-WA-RIYAZAT....*

Cont...

Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Mukammal Tor par Uloom Zahiri Hasil Karne ke Bad Uloom e Batini Ke Husool Ki Ibteda ki Aur Mujahda Wa Riyazat Ki Intehai Mushkil Wa Purkhawar(Kanto se Bhari Hui) Raho me Kadam Rakha...

Chunache Aap Sehar Chodkar Irak ki Weeran Wadiyo Me Tanhai Me Zindagi Basar Karne Lage Taki Kameel Tanhai Mile, Jese hi Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apni Mujahidana Zindagi Ka Aagaz Kiya To Allah Taa'la Ka Fazl Jo Shuru Hi se Apke Sath Tha Aur Jyada Ho gaya....

Hazrate Khizr Aleyhissalam bhi Apke Humsafar Ho gae Magar Allah Taa'la Ki Marzi Se Jab Tak Allah Taa'la Ne Chaha Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Hazrate Khizr Aleyhisalam Ko Nahi Pehchana Bil-Akhir Saiyedna Khizr Aleyhisalam Ne Khud Hi Apne aap ko Zahir Kar diye Aur Wada Liya Ki Aap Unki Mukhalifat Nahi Farmaenge....

Wade ke Sath-Sath Hazrate Khizr Aleyhissalam Ne Farmaya Ki Isi Jagah Aap Rahiye Jab Tak Ki Me Vapas Na Aa Jau Isi Maqam Par Rahiyega, Itna Farmakar Hazrate Khizr Aleyhissalam Chal Diye Aur 1 Saal Bad Wapas Loute Dobara Fir Yahi Takeed Ki Aur Chale Gae...

Isi Aalam Me Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne 3 Saal Guzare Hazrat Khizr Aleyhisalam Har Saal Aate Aur Yahi Hidayat Farmakar Vapas Lout Jate Is Lambi Muddat me Dunia ki Be-Shumar Khawahishat Haseen-wa-Dilkash Shaklo Me Apko Apni Janib Mutawajjah Karti rahi Magar Allah Taa'la Ke Fazlo Karam se Dunia Aur Dunia ki Haseen-Wa-Dilkash Cheeze Apko Apni Taraf Maeel Na Kar saki...

🌹 Subhan ALLAH 🌹
******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(19)

*MUJAHDA-WA-RIYAZAT....*

Dobara Iblees Aag Ka Shola Lekar Apke Kareeb Aya Apne Is Taiyari Ke Sath Hamla-Aawar Dekha to Padha "AAUZU-BILLAHI-MINAS-SHETANIRRAJEEM" Wo Chala gaya Aur Kuch Hi Lamho Ke Bad Fir Palat Kar Aya Aur Fouran Apke Upar Hamla Awar Hua, Fouran hi Ek Sawar Namudar Hua Aur Shaikh Jeelani Ke Hath Me Ek Talwar De di Jise Dekhkar Iblèes Gayab Ho gaya....

Teesri Bar Iblees Makro-Fareb Ke Sath Aya, Apne dekha Ki Apse Door Pareshan Haal Afatzada Khaeeb-Wa-Khaseer ki Surat Banae Betha Hua Ro Raha tha Apki Nazar Padi To Iblees Kehne Laga Ki Ab Aap Muje Kyu dekh Rahe ho Ab To Me Apse Na Ummid Ho Chuka hu...

Sarkare Jeelan رضي الله تعالي عنه Ne Fir Taauz Farmaya Aur Farmaya ki Me Kisi Haal me Mutmaeen Nahi hu Sarkar Jeelani رضي الله تعالي عنه  ki Ye Sabit-Kadmi Dekh kar Iblees Ne shirke Khafi Ke Beshumar Jaal Apke Samne Bicha Diye Lekin Kudrat Ko Sarkare Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ki Hifazat Manzur thi....

Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Shetan Ke Bichae Hue Tamaam Jaal Kaat diye Uske Bad Iblees Ne Makhluk Ki Muhabbat Aur Dunyawi Rishto ke Tallukati Jaal Bichai Magar Fazle Rabbani Se Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه  Ne Katai Tawajjo Na Di Aakhir Ek Saal ke Bad Tamaam Dunyawi Rishte Wa Muhabbat Ke Jaal Bhi Taat-Taar Ho Gae Aur Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Is Katheen Manzil Se bhi Paar ho Gae....

🌹 SUBHAN ALLAH 🌹
*******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(20)

MUJAHDA-WA-RIYAZAT....

Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه Ye Tamaam Manzile Tay Karne ke Bad Jab Bagdad Sharif Me Vapas Aaye To Fitna Fasad Ke Mahol Ko Dekhkar Sarkar Gous-E-Paak Ki Tabiyat Na Lagi Aur Bagdad Sharif Se Chale Jane ka Irada Kiya....

Chunache Ek Din Gale me Quran-E-Kareem Dale Kar Muhalle-Halab Ke Darwaze Se Nikal Pade to Fouran Sadae Gaibi Jo Har Aan Apki Rehnumai Karti Rahi Is Khayal se Baaz Rakhne Ke Liye Harqat me Aai Aur Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ne Apne Mubarak Kano Se Suna Vapas Jao Tumhari Zaat ae Makhluk Ko Baghdad Hi se Fayda Pahuchega...

Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ne Jawab Me Kaha ki Makhluk Ka Mujhpar Kya Haq hai Ki Me Uski Khatir Is Fitna wa Fasad Ke Sehar me Rahu, Me to Yaha se Isi Liye Jana Chahta hu Taki Apne Deen Wa Imaan Ki Hifazat Kar Saku....

Fir Gaibi Aawaz Aai

"TUM BEHTER HO UN SAB UMMATO ME JO LOGO ME ZAHIR Hui Bhalai Ka Huqm Dete ho Aur Burai Se Mana Karte ho Aur Allah Par Imaan Rakhte ho, Makhluk Ka Tumhare Upar Bhut Bada Haq hai Usko Hidayat Dena Tumhari Zimmedari hai Tum Isi Jagah Par Raho Allah Taa'la Tumhare Deen Wa Imaan Par Ki Hifazat Farmaega Sarkare Jeelan Ne is Muqaddas Farman ki Ita'at Karte hue Mustakik Qayam Ka Pakka Irada Farma Liya Aur Itminan Se Us Waqt ka Intezar Karne lage Jisme Sarkar Gous-E-Azamرضي الله تعالي عنه  Ki Zaat se Allah Taa'la Ki Makhluk ko Aam Fayda Pahuchna Tha.....
*************&&&&&&
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(21)

*SARKAR GOUSE PAAK KA MUJAHIDA-WA-RIYAZAT...*

⬇Cont..

Chunache Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Apne Jadde Akram Huzur Saiyede Aalam ﷺ Ko Dekha Aap Irshad Farma Rahe the Ki "Aye Mere Pyare Bete Tu Wa'aaz Kyu Nahi Farmata Huzur Gouse Azamرضی الله عنہ  Ne Arz Kiya Aye Mere Pyare Baap Me Ek Azmi Aadmi Hu Arab Ke Behtarin Guftagu Karne Walo Ke Samne Kyunkar Bol Sakta hu...

Huzur Saiyade Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Munh Khol Huzur ﷺ Ne 7 Martaba Apna Lua'ab Sharif Huzur Gouse Azam Ke Mubarak Munh Me Dala Aur Irshad Farmaya Tu Logo ko Apne Rabb ki Taraf Bula Hiqmat Aur Achi Nasihat Ke Sath..

Huzue Gouse Azam رضی الله عنہ Irshad Farmate hai Ki Uske Bad Me Namaze Zohar Padhkar Takrir Karne ke Liye Betha Logo ka Bahut Bada Majma Ho Gaya To Me Takrir Na Kar Saka Fir Hazrat Moula-E-Qaynat Janabe Haidare Qarrar Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ko Dekha Ki Us Majlis ke Aakhir me Tashrif Farma hai Aur Farmate hai "AYE PYARE BETE TU QALAM KYU NAI KARTA" Sarkar Gouse Paak ne Arz kiya Aye Walide Girami Meri Zuban Band ho Gayi hai..

Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne Farmaya Munh Kholo Huzur Gouse Azam ne Munh Khola To Hazrate Ali رضی الله عنہ Ne 6 Martaba Apna Munarak Thook Dala Huzur Gouse Azam Ne Arz kiya Aapne 7vi Bar Kyu Nahi Dala..

Hazrat Ali رضی الله عنہ Ne Irshad Farmaya Huzure Aqdas ﷺ Ke Sath Adab Ki Wajah Se Uske Bad Ilm Ke Samundar ne Huzur Gouse Paak Ke Muqaddas Seene se Zabane Paak Par Mouje Mari Aur Bila Takalluf Mukammal Rawani Aur Be'Banawat Ke Sath Itni Behtareen Guftagu Aur Takrir Farmane Lage Ki Arab ke Bade-Bade Behtareen Guftagu Karne Walo Ne Humare Aqa Huzur Purnoor Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Samne Apni Badhayi Ki Topiya Bilkul Utaar di Ye Allah Ka Fazl hai Jise Woh Chahta hai Deta hai Aur Allah Bade Fazl Wala hai...

Iske Bad Thode Hi Zamane me Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Wa'az Me Log Zyadti Ke Sath Shamil Hone Lage Yaha Tak Ke Jab Babul Halba Ke Musalla me Gumjaish Nahi Rahi To Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ ka Mimbar Sharif Sehar Se Bahar Eid Gaah Me Bichaya Gaya Waha bhi Log Wa'az Sunne Ke Shokh me Ghodo, Khaccharo, Gadho, Aur Ounto Par Sawar Hokar Aya Karte the Aur Hazrine Majlis Ki Ta'dat 70,000/- Tak Ho Jaya Karti thi...

Huzur Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Har Majlise Mubarak Me Kitne Log Apne Gunaho se Touba Karte, Rehzan Apno Rehzani se Touba Karte, Gumrah Apmi Gumrahi Se Touba Karte, Badmazhab Apni Badmazhabi se Touba Karte Yaha Tak Ki Kabhi Kabhi Kuffaro Mushrikin Apne Kufro Shirk Se Touba Karke Musalman Ho Jate..

Chunache Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Shargird Hazrate Shaikh Abdullah Zubayi Ka Bayan Hai Ke Humare Shaikh Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ki Takrir Se Muttasir Hokar 1 Lakh Se Zyada Fasiko Fajir Aur Gumrah Logo ne Apke Mubarak Hatho Par Touba Ki Aur Hazaro Yahoodi Aur Isayi Mazhabe Islam Me Dakhil Huwe...

📚(Humare Gouse Azam, Safa-72)

Ajam kaisa Arab, Hil kya Haram meiñ,
Jami har jaa teri mehfil hai Ya Gaus.❤

Tera hil hai tera haram Gaus e Aazam,
Arab tera tera ajam Gaus e Aazam.❤
********************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(22)

Akhrabul Akhyar Sharif Me Khud Huzur Gouse Azam رضی الله عنہ Ka Bayan Mankool Hai Ki Huzur Farmate hai Ki Meri Khawaish Hoti hai Ki Hamesha Tanhayi me Rahu Jungle Aur Biyaban Mera Makan Ho Na Makhlook Muje Dekhe Na Me Makhlook Ko Dekhu Lekin Allah Taa'la Ko Apne Bando Ki Bhalayi Manzoor hai...

Yahi Wajah Hai Ki Mere Hath 5000 Se Zyada Isayi Aur Yahoodi Musalman Ho Chuke hai Aur 1 Lakh Se Zyada Badkar Aur Gunaho Me Mubtila Log Touba Kar Chuke hai Aur Yeh Allah Taa'la Ka Khaas Fazlo In'aam Hai..

Sarkare Jeelan Ke Wa'az-Wa-Takrir Me Bhala Yeh Taseer Kyunkar Paida Na Hoti Jabki Aapne Deeni Uloom Me Kafi Maharat Hasil Kar Li thi, Ibadat-Wa-Riyazat Ke Zariye Apne Nafs Ko Paak Kar Liya tha Taqwa-Wa-Parhezgari, Rooh Ki Safayi Aur Woh Aamal Jinke Dikhawa Na ho Jesi Sifate Aaliya Se Muzaiyyan Ho Chuke The..

Iske Alawa Huzur ﷺ Aur Hazrate Ali رضی الله عنہ Ki Nazre Shaf'qat Wa Rehmat Aur Serparasti Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ke Sath Shameel Thi, In Ilmi Wa Amali Aur Roohani Faizan Ke Sath Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Wa'az Wa Nasihat Aur Hidayate Khalk ka Azeem'Ush'shaan Tablighi Kaam Shuru Kiya tha..

📚(Humare Gouse Azam, Safa-74)
******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(23)

SARKAR GOUSE PAAK KA MUJAHIDA-WA-RIYAZAT...

⬇Cont..

Islami Rehbar-Wa-Rehnuma Banne Ke liye Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne Kuch Sharait Bayan Farmaye Hai Aur Woh Ye hai...

JISE DEEN KE ULOOM HASIL HO TASAVVUF-WA-MARFAT KE BHEDO SE WAQIF HO BALKI UNKA MUSHAHIDA KAR CHUKA HO AUR TAJURBEKAR BHI HO, IN KHUSUSIYAT KE SATH ISLAM KA MUKAMMAL ILM-WA-AMAL BHI HO, USI KE LIYE ALLAH KI MAKHLOOK KO HIDAYAT KA KAAM KARNA THEEK HE..

Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Ne In Sharait Ko Bayan Farmane Ke bad Muqtadaye Auliya Saiyedut'taifa Hazrate Junaid Baghdadi رضی الله عنہ Ka Yeh Mubarak Qoul bhi Naql Farmaya Hai..

Humari Zindagi Qur'an-Wa-Hadees Ke Dayre me Ghiri Huyi hai Jo Saksh Qalame Ilahi-Wa-Ahadeese Nabawi Ka Aalim Ho Deeni Samaj Wa Farasat Rakhta Ho Khuloose Amal Ka Paikar ho Aur Tasavvuf-Wa-Marifat ke Bhedo se Ba'khabar ho Aur In Tamam Manzilo Se Guzar Chuka Ho Sirf Usi Saksh Ko Deeni Rehbari-Wa-Peshwai Ki Masnad Zaib De Sakti hai...

In Ausaf-Wa-Qamalate Roohani Fuyooz-O-Barkate Rabbani Se Sarkare Gouse Azam رضی الله عنہ Malamal Hokar Masnade Irshad Wa Hidayat Par Rounak Afroz Huwe...

HIDAYAT:-

Sarkare Gouse Azam Aur Hazrate Junaid Baghdadi رضی الله عنہ Ke Irshadate Girami Un Hazraat Ke Liye Nasihat-Wa-Hidayat Ka Umda Zariya Hai Jo Na Molvi Hai Na Aalim hai Aur Bina Ilme Deen Hasil Kiye Wa'az-Wa-Takrir Karte hai Ye Log Shariyat se Kore Hokar Haqiqat-Wa-Marifat Ki Jhooti Numaish Karke Awam Ko Shariyat Se Door Karte hai Halanki Shariyat ki Asal hai....

📚(Humare Gouse Azam, Safa-74/75)
******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (12)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(12)

*Apni Vilayat Ka Choti Umr Mein ilm Hona* *OR BACHPAN KE KUCH WAQIYAT....*

Huzoor pur noor Saiyyadana Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala anhu se kisi ne poocha "Mata Alimta Annaka Wleeyullahi Ta'ala"  aap ko kab se maloom hai ki aap ALLAH ta'ala k wali hain tou aap ne irshad farmaya

Tarjuma:- Main 10, saal ka tha ki apne shahar k madarsa mein padhne k liye jaya karta tha tou main apne ird gird farishton ko chaltey dekhta tha aur jab madarsa mein pahuncta tou main unhein yah yah kahte hue sunta ki hat jao!

ALLAH ke Wali ko Bethne ke Liye Jagah Do Taki wo Aaram Se Beth Jae....

Kya Khoob Farmaya Moulana Jameel Qadri Barelvi ne "FARISHTE MADRASE TAK SATH PAHOCHANE KO JATE THE, YE DARBARE ILAHI ME HAI RUTBA GOUS E AZAM KA......

*Ref ( Bahajatul-Asraar, Safah.21, Qalaidul-jawahir ,  Safah 9, Akhbarul-Akhiyaar farsi , Safah 22, Safeenatul-auliya Safah 63, Tohfa qadareeya )*

Huzoor Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala anhu farmate hai ki jab main baccha tha madarsa ko jaya karta tha tou rozana ek farishta insaani shakl mein mere pas Aata aur mujhe madarsa le jata khud bhi mere pas baitha rahta main usko mutalqan na pahchanta tha ki yah fariste hai

Ek roz maine us se poocha"MAN TAKOONU" Aap kaun hain?

Tou usne jawab diya "ANA MALKUN MINAL-MALAIKATE ALAIHIMUSSALAMU ARSALANI ALLAHU TA'ALA AKOONU MA'AKA MA DUMTA FIL-MAKTABE"

Main farishton mein se ek farishta hoon Allah ta'ala ne mujhe isliye bheja hai ki main Madarsa mein aapke sath raha karoon .

*Ref ( Qalaidul-jawahir Safa 135, 236 )*

Shahanshahe Bagdad kuddisa Sirrahoo-Azeez ne farmaya ki ek roz mere qareeb se ek shakhs guzara jisko main bilkul na janta tha usne jab farishton ko yah kahtey suna ki kushada ho jao taki Allah ka Wali bait jae tou usne farishtonmein se ek se poocha "MA HAZASSABEEYU" yah ladka kis ka hai? farishte ne jawab diya "HAZA MIN BAITIL-ASHRAFE" Yah sadat k gharane ka ladka hai tou us ne kaha  "SAYKOONU LEHAZA SHANUN AZEEMUN" Anqareeb yah bahut badi shaan wala hoga

Huzoor shaheedo jeelaan Radi'Allahu ta'ala anhu farmate hai ki 40 saal k baad maine unko pahchana ki wah Abdale waqt mein se tha


*Ref ( Bahajatul-Asraar Safa 21, Qalaidul-jawahir safa . 9, Matboo'aa misr )*


Hazrat Ghous e Samdani kuddisa Sirrahoo Annoorani farmate hai ki main jab bachpan mein kabhi bacchon k sath Khelne ka irada karta tou main kisi kahne wale kee aawaz ko sunta jo mujhe kahta ilaiya ya mubaraku Ae khush bakht aur khush naseeb tum mere pas aa jao tou main fauran Apni muqadsas walida Mohtarma kee God mein chala jata.... 》TO  BE CONTINUE. .....


*Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 21, Qalaidul-jawahir safa 9 )*
**********************

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (11)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(11.)

SAIYEDNA GOUS-E-AZAM رضي الله تعالي عنه KI TASHRIF AAWRI KE MUBARAK HALAT....

Tarikh Ki Motbar(Itihas Ke Aetbar Ke Qabeel) Qitabo me Bataya Jata hai Ki Ek Martaba Ek Allah Wale Dariya-E-Dajla Ke Kinare Chale Ja rahe the Ki Achanak Dariya me Badhta Hua Ek Seb(Apple) Nazar Aya, Us Allah Wale ne Seb(Apple) Ko Dariya Se Nikal Liya Kyunki Unhe bhook Lagi Thi Isi Liye Unhone Us Seb ko Kha liya Aur Chal Diye Magar Kuch Hi Door Gae the ki Khayal Aaya ki Ye Seb Maloom Nahi kiska hai Aur Mene Bager Puche Kha liya...

Allah Taa'la ne Qayamat Ke din Puch Liya To Kya Jawab Doge? Ye Khayal Aate hi Seb Ke Malik Se Muaf Karane ya Qeemat dene Ke Liye Us Taraf Chal Pade Jidhar Se Seb Aya Tha, Yaha Tak ki Chalte-Chalte EK baag Me Pahuche Jiski Daliya Dariya Ki Taraf Jhuki Hui Thi....

Us Allah Wale ne Khayal Kiya ki Jis Seb ko Humne Khaya Hai Wo Isi Bag Ka hoga To Us Allah Wale Ne Bag Wale ka Pata Maloom kiya To Maloom Hua Ki Ye Bag Hazrate Abdullah Sumai Ka hai....

Chunache Wo Allah Wale Hazrate Shaikh Abdullah Sumai Ki Bargah me Hazir Hue Aur Seb Khane Ka Waqia Bata kar Seb ki Qeemat Lene Ya Muaf Karne Ke liye Arz Kiya Hazrat Shaikh Abdullah Sumai Ne Farmaya Ki Beta Seb ki Qeemat Bahut Zyada hai Tum Ada Nahi Kar Sakte, Lekin Allah Wale Ne Qeemat Ko Ada Karne Ka Jab Zordar Tareeke se Ikrar kiya To Hazrate Shaikh Abdullah Somai Ne Farmaya Ki Us Seb ki Qeemat Ye hai ki Tum mere Bagh ki Ek Saal Rakhwali karo....

Chunache Wo Allah Wale Pure 2 saal tak Us Bag Ki Rakhwali Karte rahe, Ek Din Hazrate Shaikh Abdullah Somai Ne Farmaya Beta Seb Muaaf Karwane ke Liye Tumhe Ek Kaam Aur Karna hoga Aur Wo Ye ki Tum Meri Beti se Shadi karo Jo Dono Aankho se Andhi hai, Dono Kano se Behri hai, Dono Hatho se Luli hai, Dono Pero Se Langdi hai Aur Zaban se Gungi hai....

Us Allah Wale Ne Seb Muaf Marwane ke Liye Esi Ladki se Shadi Karne Ke liye bhi Iqarar Kar diya, Chunache Hazrat Shaikh Abdullah Somai Ne Apni Beti Ki Shadi Us Allah Wale se Karva di, Lekin Jab Wo Allah Wale Apni Biwi Ke Kamre me Gaye To Hairan Hue Kyunki Us Kamre me Bahut hi Haseen-O-Jameel Khubsurat Aurat Moujud thi....

Wo Allah Wale Ulte Qadam Kamre se Nikal Gae Aur Hazrate Abdullah Somai Ke Pas Hazir hokar Kaha ki Aapne Jis Ladki Ki Shadi Mujse Ki thi wo Ladki Us Kamre me nahi hai Balki Dusri Hai....

Ab Hazrate Shaikh Abdullah Somai Ne Farmaya Ki Beta Wahi Tumhari Biwi hai Aur mene jo Kuch Tumse Kaha tha Uska Matlab Ye hai ki Us Ladki ne Kabhi bhi Apni Zaban Se Shriyat ke Khilaf koi Bat nahi ki Isi Liye Wo Gungi hai...

Usne Apne Kano se Koi Buri Baat na Suni Isi Liye wo Behri hai, Usne Kabhi Apni Aankho se Gair Mehram ko Nahi Dekha Isi Liye Wo Andhi Hai, Aur usne Apne Hatho se Koi Galat Kaam Nahi Kiya Isi liye wo Looli hai Aur Wo Kabhi Apne Pero se Gunaah ki Taraf Nahi Jati Isi liye wo Langadi hai....

Us Muqaddas Khatoon ka Mubarak Naam Saiyeda Fatima Hai, Aur Kunniyat Ummul Kher hai Aur Laqab Sharif Amtul Jabbar hai Aur Us Allah Wale Ka Mubarak Naam Saiyed Musa Ibne Abdullah hai Aur Kunniyat Abu Saleh Hai Aur Laqab Jungi-Dost Hai....

Inhi Dono Mubarak Aur Allah Walo Ke Zariye Haqeeqat-O-Marifat Aur Shariyat-O-Tareeqat Ka Ek Esa Mahakta Hua Phool Khila Jisne Sare Aalam Ko Apni Khushbu se Mehka Diya Jo Gousiyat Aur Qutbiyat Ka Taajwar Bankar Wilayat ke Aasman Par Chand-Wa-Suraj Ki Trah Jagmagaya Aur Qayamat Tak Jagmagaega Jise Dunia ne "GOUS-E-AZAM" Ke Muqaddas Laqab se Jana Aur  Pehchana....

*Ref (Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه)

🌹Subhan ALLAH🌹....
*******************

Kyun na Qasim ho ke Tu Ibne Abil Qasim hai,
Kyun na Qadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera.❤

Nabavi zil Alavi burj Batooli manzil,
Hasani chand Hussaini hai ujala Tera.❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤

Wednesday, 27 December 2017

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (10)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(10)

⏩ Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ki basharat.

Me'raj Ki Raat Jab Nabi-E-Kareem ﷺ Burak Par Sawar Hokar Hazrate Jibraeel Aleyhissalam Ke Sath Rawana Hue To Sidrat-ul-Muntaha Par Ruk Gae Aur Arz ki Aye ALLAH  ke Rasool ﷺ Ab Me Yaha se Baal Barabar bhi Aage Badhu to ALLAH Taa'la Ki Tajalli Se Mere Par Jal Jaenge....

Usi Muqam Par Burak bhi Ruk Gaya Kyunki Sidrat-Ul-Muntaha Aalame Malakut Aur Malaika Ki Parwaz Ki Intiha(AKHRI) Hai, Is Maqam Se Aage Huzur ﷺ Ki Khidmate Mubaraka Me Rafraf Sawari Ke liye Hazir Hua Lekin Rafraf Bhi Bahut Sare Hijabat Tay Karane Ke bad Ruk Gaya Kyunki RafRaf ki Parwaz ki Yahi Intiha Thi....

Ab Lahut Aur Lamka Ke siwa Kuch bhi Na tha Hazrate Sultan Bahu  رضي الله تعالي عنه Apni Qitab "NOOR-UL-HUDA" Me Aur Shaikh Abdul Qadir Ibne Muhiuddin Arbali  رضي الله تعالي عنه Ne Apni Mashoor Qitab "TAFRIHUL KHATIR FI MANAKIB-E-SHAIKH ABDUL QADIR" Me Hai ki Us Maqam Par Huzur Gous-E-Azam  رضي الله تعالي عنه Ki Mubarak Rooh Ko Mehboobi Surat me Huzur Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Khidmat me Hazir Kiya gaya....

Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Kadmo Ke niche Huzur Gous-E-Azam Ki Mehboobi Surat Ne Apni Gardan Pesh ki Aur Sawari ki Hesiyat se Sarkare Do Aalam ﷺ Ko Maqam-E-Khaas Qaba Kousen O Adna Tak Pahucha Diya....

Nabi-E-Kareem ﷺ Us Maqam-E-Noor Me ALLAH Taa'la Se Arz Ki Ye Kon Hai Jisse Meri Aankhe Thandi Ho Rahi hai, ALLAH Taa'la Ne Irshad Farmaya Aye Habib Tumhe Mubarak Ho Ki Ye Muhiuddin Shaikh Abdul Kadir Jilani Ki Rooh Hai Jo Tumhari Ummat Ke Ek Wali-E-Qameel Aur Tumhari Aulad se Honge....

Us Waqt Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Intihai Shafqat Se Farmaya Aye Noor-E-Nazar Chashme Basar Muhiuddin Jesa Ki Tune Apni Gardan Mere Qadmo ke Niche Pesh ki Kal Tu ALLAH ke Huqm Se Kahega Ke "MERA YE QADAM ALLAH KE HAR WALI KI GARDAN PAR HAI" Aur Meri Ummat ke Tamaam Auliya Apni Gardane Tere Kadam Ke Niche Pesh Karenge....

📔(Humare Sarkar Gous-e-Azam, Safa-17-18)

"TAFRIHUL KHATIR" Me hai Ki Jab Huzur Gous-E-Azam  رضي الله تعالي عنه Paida Hue to Apki Gardan Mubarak Par Huzur ﷺ Ke Kadam Sharif Ke Nishan Moujud tha, Is Waqia Se Maloom Hua Ki Huzur ﷺ Ko Jab Jismani Aur Roohani Meraj Hasil Hui To Apke Sath Me Aur Apke Sadqe Me Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ko Roohani Meraj Hasil Hui Aur Huzur Gous-E-Azam Qaba Kousen O Adna Ke Bhed Se bhi Wakif Hue Jesa ki Sultan-Ul-Hind Hazrate Khawaza Gareeb Nawaz رضي الله تعالي عنه Ne Huzur Gous-E-Paak Ki Shaan Me Apni Manqabat Me Isi Wakia Ki Taraf Ishara Karte hue Huzur Gous-E-Azam Ki Bargah me Arz Karte hai....

TARJUMA:-

Aye Gous-E-Azam Aap Shriat Ki Kameel Ittiba Karne Wale Aur Hazrat Jafar Taiyyar Ki Trah Hoshyar hai, Aap Arsh Par Sair Farmane Wale Aur O Adna Ke Bhed Se Wakif hai....

Huzur Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه ne Isi Bat ki Taraf Nishan Dehi Farmate Hue Irshad Farmaya "ME BULANDIYO ME NOOR-E-MUHAMMADI ﷺ KE SATH THA AUR QABA KOUSEN ME PYARO KA MEELAP THA" Safed Moti Yani Lohe Mehfuz Ke Samne Humara Ijtima Tha Aur Qaba Kousen Me Pyaro Ka Meelap Tha....

Saiyedna Sarkar Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ki Wiladat Ki Basharat Hazrate Imaam Jafar Sadik رضي الله تعالي عنه Hazrate Owesh Qarni, Hazrate Hasab Basri, Hazrate Hasan Askari, Hazrate Zunaid Bagdadi, Aur Hazrate Abu-Bakr Ibne Huwara Bataehi رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ne Apki Wiladat ki Basharat Di hai
*****************
 Ye Dil Ye Jigar hai ye Aankhen Ye Sar hai,❤

Jaha Chaho Rakhho Kadam Gaus e Azam.❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤

👉 https://m.facebook.com/mohdhuzafhr.ahmad/albums/2051347231815917/

🌍👉 http://muhammadfaizahmadquadri.blogspot.in/2017/12/saanesarkargauseeaazam.html?m=1

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (09)








*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* POST》(09)

*HAIRAT ANGEZ WAQIAT.....*

Aapki Wiladat Ke Waqt Bahut se Hairat Angez Waqiat Zahoor Pazir Hue Sabse Badi Baat To Ye hai ki Jab Aap Ronak Afroz Hue Us Waqt Apki Walida Majida Ki Umar Sharif 60 Saal Ki thi Jo Aam Tor par Aurto Ka Saneyas Hota hai Aur Unko Aulad se Na-Ummidi Ho Jati hai...

Ye ALLAH Ka Khas Fazl Tha Ke Us Umar Me Hazrat Gous-E-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Unke Batan Mubarak Se Zahir Hue....

Aap ki Viladat mahe Ramzanul-Mubarak mein huie Aur pahle din hee se wah roza rakha sahari se lekar iftari tak Aap walida-e-mohtarma ka doodh na peete they


         ```Ghous e Azam Muttaqi har aan mein```

          ```Choda Maa'n ka doodh bhi Ramzan mein```


*Ref ( Tafreehul -Khatir lishshaikh Abdul-qadir Al-Arbali  Safah. 1312  Matboo'aa )*

Saiyyadana Ghosussaqlain Shaikh Abdul-Qadir Gilani Radi'Allahu ta'ala Anhu kee walida Majida farmati hai ki jab mere farzand Arjumand Abdul-Qadir paida hua tou Ramzan shareef mein din bhar doodh na peete tha  mausam Abr Aalood hone kee wajah se logon ko Ramzan shareef ka Chand dikhaee na diya isliye logon ne mere paas Aakar Saiyyadana Abdul-Qadir jeelani k muta'alliq daryaft kya ki unhone doodh piya hai ki nahi?

Tou maine un ko bataya ki mere farzand ne aaj doodh nahi piya baad razee tahqeeqat karne par is haqeeqat ka inkishaf ho gaya ki us din Ramzan kee pahli tareekh thi yani us din roza tha

*☆Washtahara bebaldena fee zalikal-waqte annahoo  waldun lil-ashrafe waldun la yarzao fee nahare ramzan.*

Yani aur hamare shahar mein us waqt mashahoor ho gaya ki Saiyyadon k ghar mein ek baccha paida hua hai jo ramzan shareef mein din ko doodh nahin peeta...》 TO BE CONTINUE. ....
*****************

Rahe paaband e Ahkaam e Shari’at Ibteda hi se,❤

Na chhoota sheer khwaari meiñ bhi roza Gaus e Aazam ka.❤



*Ref ( Tabaqatul -kubra jild 1, safah 126, satar 24 ta 27, Bahajatul-Asraar safah  89, Qalaidul-jawahir safa 3, satar 18 ta 21, nafkhatul-uns farsi safah 251, jame karamatul -auliya jild 2, safa 203, nuzhatul-khatir Al-fatir safa 32, Akhbarul-Akhiyaar farsi, safah 22, Safeenatul -auliya safah 63 )*

Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
******************

Tuesday, 26 December 2017

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (08)




​بسم الله الرحمن الرحيم​
​الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم​

​#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه​
》POST_NO. (08)

​Paidaish se pahle Vilayat ki shohrat​

Aap kee Viladat se Arsa baeed pahle mashaikhe kibaar Alaihirrehma ne aapki Viladat shan w shaukat maqam aur jalalat kee khabren dee chand ek darj kee jati hain.


​Imam Hasan Askari Radi'Allahu ta'ala anhu:​


Imam Ghouse Saiyyadana Hasan Askari Radi'Allahu ta'ala anhu ne apna sajjada  ( musalla ) Hazrat Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala anhu kee khidmat mein pahunchane k liye apne ek mureed ko diya aur vseeyat farmaee ki usko bahut hifazat se rakhna aur apne marne k waqt kisi motamad aur motabar shakhs ko de dena aur usko vseeyat karna ki wah bhi marte waqt kisi doosre shakhs ko de de isi tarah panchvi sadee k darmiyan tak yah silsila chalta rahe hatta ki Ghous e Azam jinka mubarak naam Shaikh Abdul-Qadir Al-Hasni Al-jeelani hoga zahir honge unki Amanat hai unko pahunchana aur mera salam kahna.

​Hazrat Junaid Bagdadi Radi'Allahu ta'ala anhu :​

Irshad farmate hain ki mujhe Aalame Ghous se Maloom hua ki panchvi sadi k wast mein Saiyyedul -Mursleen Alaihissalatu wattasleem kee Aulade Athaar mein se ek kutabe Aalam hoga.

Jiska laqab muheeyuddin aur isme mubarak Saiyyad Abdul-Qadir hai aur wah Ghous e Azam hoga aur geeelan mein paidaish hogi unko khatamunnabieen Sallallahu alaihi wa sallam kee Aulade Athaar mein se Aimm-e-kiram aur Sahaba kiram Alaihimur'Ridwaan k Alawa Awwali w Aakhiri k har wali aur waleeya kee gardan par mera qadam hai kahne ka hukm hoga..

​Ref ( Tafreehul-khatir Safah, 26,27 )​
****************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

​💐Hazrat Hasan Basri Alaihirrehma :​

Muhammad Bin Ahmad Bin Zaree'a Azzanjani kuddisa Sirrahoo Annoorani ne apni kitab Nuzhatul-khatir k bab shashum mein un mashaikh ka jinhone Hazrat Saiyyadana Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala anhu k kutabeeyat k martaba kee shahadat dene ka tazkira farmate hue raqmtaraaz hain Aap se pahle Auliyaurrahman mein se koi bhi Hazrat ka munkir na tha balki unhone aapki aamad-Aamad kee basharat dee hazrat hasan basri Rahmatullah ta'ala alaih ne apne zamana mubarak se lekar hazrat shaikh Muheeyuddin kutab Saiyyad Abdul-qadir jeelani Radi'Allahu ta'ala anhu k zamana mubarak tak bil-Wazahat Aagah farma diya hai ki jitne bhi Auliya ALLAH guzre hain sabne shakh Abdul-qadir Razi’Allahu Anhu kee khabar dee hai.

​Ref ( Tafreehul -Khatir safah, 13.14 )​

Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
******************
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

*Shaikh Abu Ahmed Abdullah Al-Jooni Kuddisa Sirrahoo Annoorani *

Shaikh Abu Ahmed Abdullah Al-Mulqqab Bil-Haqqi Alaihirrahma ne 268 iswi mein kohe hird mein apni khalwat mein irsaad farmaya ki Anqareeb blade Azam mein ek ladka paida hoga jiski karamat aur khawarik kee wajah se bahut shohrat hogi usko tamam Auliya Allah k nazdeek Maqbuliyate tamma hasil hogi uske wajoode bawajood se ahle zamana sharf hasil karenge aur jo uski ziyarat karega nafa uthayega

​Ref ( Bahajatul-Asraar safa 4 )​
*****************

بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

Kalaeed ul Jawahir kitab ke musannif Hazrat Allama Shaikh ibne Yahya Hambali رضي الله عنه ka bayan hai ki mashoor buzurg Hazrate Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه jinki qaramat mashoor hai ke Hazrat e Amirul Mo'aminin Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه ne inko khawaab mein apna khirka shareef pehnaya aur jabh ye buzurg bedaar huwe to khirka maujood paaya.

Yahi Hazrate Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne barso pehle yeh gaib ki khabar di thi ke iraq mein 8 Awliya jo wilayat ke darje par faeez honge jinke naam hai Maroof Karkhi, Ahmed Ibne Hambal, Bishr Haafi, Mansoor ibne Ammar, Junaid baghdadi, Sarri Sakti, Suhail ibne Abdullah tustari aur
Abdul Qadir Jilani رضي الله عنهم

Jabh logo ne daryaft kiya ke Huzoor yeh Abdul Qadir jilani kaun hai to Hazrat e Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne farmaya ke yeh ek Azami hai ye jilan mein paida honge aur baghdad inka thikana hoga aur 5vi sadi mein inka zuhoor hoga aur wilayat mein inka muqaam itna buland hoga ke ek din mimber par alal elaan farmaenge ke mera ye qadam tamam Awliya Allah ki gardan par hai.

Tamam guzre huwe aur maujooda Awliya e kiram adab se apni apni gardan jhuka kar arz karenge ki aye Gaus e Aazam رضي الله عنه balki aap ka kadame mubarak hamare sar aur aankhon par hai.
*****************
Ref. .# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Jo Wali Qabl the ya Baad huwe ya Honge,❤

Sab Adab Rakhte haiٌ dil mein mere Aqa tera.❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤
*******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne Hazrat Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه aur Hazrat Maula Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ko Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ke paas jaane ki wasiyat farmayi aur farmaya ki tum dono Owais karni ko mera salaam kehna, aur mera jubba dekar kehna ki wo meri ummat ki bakhshish ke liye dua kare.

Chunache jabh Hazrat e Umar رضي الله عنه aur Hazrat Ali e Murtuza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ke paas gaye aur Sarkar e Do Aalam ﷺ ka farmaan sunaya to Hazrate Owais Karni رضي الله عنه ne sajde mein apna sar rakh kar ummat e Muhammadiya ﷺ ke liye dua maangni shuru ki.

Ussi waqt nida(aawaz) aayi ke sajde se apna sar utha le kyuki teri dua e shafa'at se apne mehbub ki Aadhi ummat ko bakhsh diya aur Aadhi ummat ko apne Mehboob e Aazam ke ladle farzand Gaus e Aazam Abdul Qadir jo mera bhi mehboob hai uski shafa'at se bakhshunga jo tere baad paida hoga.

Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ne arz ki aye Parwardigar tera wo mehboob banda kaun hai aur kaha hai ke Main uski ziyarat karu to nida Aayi ke jisska tarjama- "Sach ki Majlis mein Azeem qudrat wale badshah ke huzoor yaani Allah ﷻ ki bargah mein hazir hai"

Wo mera mehboob hai aur mere mehboob e Aazam Muhammadur Rasool Allah ﷺ ka bhi mehboob hai aur Sahaba e Kiram aur Aaeemma e Izaam ke ilawa tamam agle pichle Auliya ki gardano par uska kadam hoga aur jo usse qabool karega mein usko dost rakhunga.

Hazrate Owais Karni رضي الله عنه ne ye sun kar apni gardan jhuka di aur arz ki aye Parwardigar Main bhi usse qabool karta hu.

# Tafrih ul Khatir
#Manazil ul Awliya fee Fazaeelil Asfiya
# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Muhammad ( ﷺ )ka Rasooloٌ meiٌ hai jaise martaba A’ala,❤

Hai Afzal Auliya meiٌ yuٌ hi Rutba Gaus e Aazam ka.❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤
*******************

 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

Hazrat e Imam Jafar Sadiq رضي الله عنه ne Kashf ul Guyub mein tehreer farmaya ke jumah ki raat 11 Rajjab hijri 140 Main Quraan e paak ki tilawat mein mashgul tha takriban aadhi raat khatam ho chuki thi mujh par neend ka galba gaalib huwa uss waqt ilham huwa ke iss waqt tilawat choor kar so jao.

Chunache Main so gaya to ussi halat mein Aalam e malaqoot(firishto ki duniya) mein zahir huwa aur jald hi Aalam e malaqoot se Aalam e jabaroot ki taraf barha to khawab mein ek baagh nazar aaya jiske har darakht par tajalliya nazar aa rahi thi kuch firishte tasbeeh parh rahe the bahot se Ambiya e Kiram ki rooh e maujood thi.

Sahabi e Rasool ﷺ Hazrate Anas ibne Maalik رضي الله عنه mere paas tashreef laaye aur farmaya ki Huzoor ﷺ aapke intezaar mein hai Main Sarkar e Do Aalam ﷺ ki khidmat e akdas mein haazir huwa waha ek bade maidan mein ek shandar khaima (tent) maujood tha aur maidan ke beech mein ek takht bichha huwa tha jiss par do jaha ke Rasool ﷺ jalwa farma they, mujhe dekh kar Rehmat e Do Aalam ﷺ ne irshad farmaya ki aye mere Noor e nazar bahot jald tum hamare paas aane wale ho jo wakiya tumhe dekhne mein aa raha hai usse duniya mein likh dena, phir Huzoor ﷺ ne mujhe apne kareeb baithne ka hukm farmaya to kareeb baith gaya kuch deir ke baad 2 Rooheiٌ Sarkar e do Aalam ﷺ ke takht ke kareeb aayi ek rooh ka rang heere ki tarah chamakdar tha aur doosri rooh ka rang jo piche thi wo yakoot jaisa tha.

Pehli rooh ko Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne apne sidhe Janoo par baithaya aur doosri rooh ko baaye Janoo par baithaya phir Sarkar e Do Aalam ﷺ ne pehli rooh ke mutalliq farmaya iska naam duniya mein Abdul Qadir Muhiyuddeen hoga iska martaba bohat buland hai iske asar se mazhab e islam mazboot hoga. Phir doosri rooh ke mutalliq irshad farmaya iska zuhoor Abdul Qadir ke baad hoga aur duniya mein iska naam Ali Ahmed Sabir hoga iske andar shaan e jalal zyada hogi aur ye haqq ke dushmano ko barbad kar dega uske baad Hazrat Jafar Sadik رضي الله عنه neend se bedaar huwe...

》TO BE CONTINUE. ....

*Ref (Hamare Gaus e Aazam رضي الله عن)
*****************

Nabi Noor e Ilaahi aur ye Noor e Mustafaai haiٌ,❤
To phir Noori na ho kyuٌ kar gharaanaa Gaus e Aazam ka.❤

Wilaayat hai Muheet Aalam e Arwaah-e-Baala ko,❤
Ke Tum ho Khaatim e Arwaaho Shaah Do Jahaaٌ Saabir.❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤
*******************

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*

Shaikhul Mashaekh Hazrat Junaid e Baghdadi رضي الله عنه jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se 200 saal pehle ke buzurg hai ek din muraqbe mein the ke achanak sar uthaya aur farmaya mujhe Aalam e gaib se maloom huwa ki 5vi sadi hijri mein Saiyyudul Mursaleen Khatamun Nabiyyin Alaihisalaatu wattasleem ki Aulaad e paak mein ek qutub e Aalam hoga, Jinka laqab Muhiyuddin hoga aur naam e mubarak  Abdul Qadir hoga aur wo Gaus e Aazam hoga aur unki paidaish jeelan mein hogi aur unko hukm hoga ki elaan kardo tamam agle pichle Auliya Allah ki gardan par mera qadam hai.

Huzoor peerane peer dastageer Raushan Zameer Qutbul Aqtaab shahenshah e baghdad Abu Muhammed Muhiyuddeen Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki duniya mein tashreef  aavri ke mutallik aur kaafi buzurgo ke qual aur rivayate hai kal se in sha Allah aap ki wiladat ka tazkira aur aap ki taleem aur bachpan ke aalam ke waqiyat post honge.
*****************
Ref... #Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Jiski Mimbar Bani Gardan e Auliya..❤

Us Qadam Ki Karamat Pe Laakhon Salaam..❤

AL Madad Ya Gaus-e-Azam Radiallahu Ta'ala Anhu ❤

*******************
Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (07)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (07)

*WILADAT BA SA'AADAT....*

Hazrat Saiyed Abdul Qadir Jeelani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Qasba E Jeelan me Yakam Ramzan Ba-Roz Jummat-Ul-Mubarak 470 Hijri Mutabik 1075 I. Ko Paida Hue...

Imaam Hafiz Ibne Qaseer Damishki Jinki Wafat Hijri 774 Me Hui Apni Tansif Al-Bidaya Wann-nihaya Me Hazrate Gous-E-Azam Ka Sann-E-Wiladat Hijri 470 Likhte hai Aur Imaam Yafai(Jinki Wafat 768 Hijri Me hui) Apni Tasnif "Miratul Jinan Wa Ibratul Yaqzan" Me Likhte hai Ki Hazrate Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Se Jab Kisi Ne Apki Pedaish Ke Saal Ke Mutallik Sawal Kiya To Apne Jawab Diya Muje Sahi Tour Par to Yaad nahi Albatta Itna Zarur Janta hu ki Jis Saal me Bagdad me Aya Tha Usi Saal Shaikh Abu Muhammad Rizkullah Ibne Abdul Wahab Tameemi Ka Wisal Hua Aur Hijri 488 Tha Aur Us Waqt Meri Umar 18 Saal thi Is Hisab se Apka Sann e Wiladat 470 Hua....

SARKAR GOUS-E-AZAM رضي الله تعالي عنه KI PEDAISH KI JAGAH....

Watan-E-Mubarak Apka Ghil hai Jise Gilan Bhi Kehte hai Arab ke Log Ise Jheel Aur Jeelan  Kehte hai, Ye Tubristan Ke pas Ek Ilaqa hai Jo Mulke Azam(Arab Ke Alawa Sab Mulko Ko Azam Kehte hai) Me hai, Isi Ilake Me Neef Naam Ki Aabadi Me Apki Pedaish Hui....

Bagdade Muqaddas Aur Madain ke Qareeb Bhu Jheel Ya Ghil Naam ke Do Qasbe Pae Jate Hai Lekin In Dono Qasbo ko Hazrat Gous-E-Azam Ki Pedaish ki Jagah Kehna Durust Nahi Kyunki Mulke Iraq Se Mutallik Hai Aur Hazrat Gous-E-Azam رضي الله تعالي عنه Ka Azmi Hona Mutahakak Hai Yani Iski Tehqeeq Ho Chuki Hai Ki  Aap Azami The, Usko Kehte hai Jo Arab Ka Na ho...

Manakib Merajiya Ki Riwayat hai Ke Saiyedna Abdul Qadir Ka Chehra Ba-Waqte Wiladat Mehar Daksha ki Trah Roshan tha....》 TO BE CONTINUE. .....

Imaam Hafiz Qaseer Damashki Apni Tansif "AL-BADAYA-WAN-NAHAYA" Me Hazrate Gous e Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ka Sann e Wiladat 470 Hijri Likhte hai...
*******************

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (06)



*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (06)

*Shab e Viladat, Basharat aur Mushahidaat*

Mahboobe Subhani shaikh Abdul-qadir jeelani RadiAllahu ta'ala Anhu k walid e majid Hazrat Abu Saleh Saiyyad Moosa Jangi Dost Radi'Allahu ta'ala Anhu ne Huzoor e Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala Anhu kee shab e Viladat mushahida farmaya ki sarkar e kainat ,  mafkhare maujoodat ,  manbae kamalat, baise takhleeqe kainaat Ahmed Mujtaba Alaihi Afzalussalate wattasleemat Ma'aa Sahaba kiram, Aimmatul -huda aur Auliya e izaam Alaihimur'Ridwaan unke ghar jalwa Afroz hai aur in Alfaze mubaraka se Unko khitab farmaya Aur basharat se nawaza

☆Ae Abu Saleh! ALLAH-TA'AALA  ne tum ko Aisa farzand ata farmaya hai jo wali hai wah mera beta hai, wah mera Aur ALLAH Az'wazal ka mahboob hai Aur Anqareeb uski Auliya ALLAH Aur Aqtaab mein wah shan hogi jo Anbiya aur Mursleen mein meri shaan hai


Ghouse Azam Radi'Allahu ta'ala Anhu darmiyane Auliya cho'n Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam darmiyane Anbiya

Hazrat Abu Saleh Moosa Jangi Dost Radi'Allahu ta'ala Anhu ko khwab mein shahanshahe Arab w Azam sarkar e do'Aalam Muhammad mustafa sallallahu Alaihi wa sallam k Alawa jumla Anbiya e kiram Alaihimussalatu was salaam ne yah basharat dee ki tamam Auliya ALLAH tumhare farzande Arjumand k mutee'a honge Aur unki gardanon par unka qadame mubarak hoga..


          ```Jiski mimbar Bane Gardane Auliya```

          ```Us qadam kee karamat pe Lakhon Salam```

Jis raat Huzoor Ghous e Azam Radi'Allahu ta'ala Anhu kee Viladat huie us raat jeelaan shareef kee jin Auraton k yaha'n baccha paida hua un sab ko ALLAH ta'ala ne ladka hee Ata farmaya AUR wah har Nau maulood ladka ALLAH ka Wali bana-


         ```Ghous e Azam Imamuttaqa wannuqa```

          ```Jalv-e-shane kudrat pe Lakhon Salam```


Aapke shaana mubarak k darmiyan sarkar e dolalam Shahanshahe Arab w Ajam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k qadme Mubarak ka Nishan tha.

*Ref ( Tafreehul -Khatir lishshaikh Abdul-qadir Al-Arbali  Safah. 1312  Matboo'aa )*
********************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (05)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (05)

*IBTIDAI HAALAT.....*

Hazrat Saiyed Abdul Qadir Jeelani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه  Nazeeb-Ul-Tarfen Saiyed Hai Jesa ke Pehle Bayan Kar diya Gaya hai Ke Aap Ke Walid Ka Naam Saiyed Abu Saleh Musa ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه  Aur Walida Majida Ka Isme Girami Ummul Kher Fatima Aur Unka Laqab AmtulJabbar Tha....

NAAM-WA-QUNNIYAT.....

Hazrat Gous-E-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه  Ka Asal Naam Hazrat Saiyed Abdul Qadir Jeelani Hai Qunniyat Abu Muhammad Hai Laqab Mahiuddin Hai Magar Aamatul Musleemin Me Aap Mehboobe Subhani , Gous-Ul-Siqqalain Aur Gous-Ul-Azam Ke Naam Se Mashoor Hai....

APKA SILSILA-E-NASAB.....

Aapka Silsila Nasab Walid Majid ki Taraf se 11 Wasto se Aur Ba-Wabasta  Madar Mohtarma 14 Wasto se Ameer-Ul-Momeenin Hazrat Ali Radiallahu Anhu Tak Pahuchta hai..

Aap Walid Majid ki Nisbat se Hasani Hai Air Silsila Nasab Yu Hai "SAIYED MAHIUDDIN ABU MUHAMMAD ABDUL QADIR BIN SAIYED ABU SALEH MUSA JUNGI DOST BIN SAIYED ABDULLAH BIN SAIYED YAHYA JAHID BIN SAIYED MUHAMMAD SHAMSHUDDIN ZAKARIYA BIN SAIYED ABU BAKR DAWOOD BIN SAIYED MUSA SANI BIN SAIYED ABDULLAH SANI BIN SAIYED MUSA ZUN-BIN SAIYED ABDULLAH MAHEZ BIN SAIYED IMAAM HASAN MASNA BIN SAIYED IMAAM HASAN BIN SAIYEDNA ALI E MURTUZA REHMAHMULLAH TAA'LA......

Hazrat Moulana Jami ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Janab Gous-E-Azam Ke Aali Martaba Wa Nasab Ka Zikr Is Trah Karte hai...

WO BADE MARTABE WALE BADSHAH JO GOUS-UL-SAQALAIN KE NAAM SE MASHOOR HAI WO HAQIQAT ME NASAB KE LIHAZ SE NAZEEB-UL-TARFAIN SAIYED HAI,

WALID MAJEED KI TARAF SE APKA SILSILA NASAB HAZRAT IMAAM HASAN رضي الله تعالي عنه SE HAI AUR WALIDA MAJIDA KI TARAF SE APKA SILSILA NASAB HAZRAT IMAAM HUSAIN رضي الله تعالي عنه SE MILTA HAI....
*****************
*AAPKA ASLI WATAN....*

Apka Asal Watan Qasba Neef Ilaqa Geelan Bilad Faras Hai, Arab Ke log Usi ko Zheel Aur Jilan Kehte hai Kyonki Arabi Me Gilan Ke Gaaf Ko Badalkar jeelan Likha Jata hai Isi Trah Apko Gilani Ya Jeelani Jo Kuch Bhi Kaha Jae Durust hai....

Ye Tibrastan Ke Pas hai Kyonke Ilaqa Zheel Ke Bashindo Ko Aam Tour par Zhili Kaha Jata hai Mashoor Aalim Fazil Hazrat Abu-Al-Fazl Ahmed Bin Saleh Zili Usi Ilaqe Ke Zheel Ke Rehne Wale the, Baat hai Ke Hazrat Gous-ul-Azam  ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne bhi Qaseeda e Gousiya me Apne Aapko Zheli Farmaya hai...

Tarjuma:-

YANI ME JHEEL KA REHNE WALA AUR MAHIUDDIN MERA NAAM HAI AUR MERI AZMAT KE ZHANDE PAHADO PAR GHADE HUE HAI...

Maloom Hota hai Zheel,Gheel, Qeel Gilan, Jeelan Sab Ek hi Ilaqe Ke Naam hai Isi Liye Hazrat ko Kisi Naam se Bhi Mansoob Kiya jae Galat Na Hoga Duniya-E-Islam Aam Tour par Apko Gilani Ya Jeelani Hi Kaha Jata hai....
******************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (04)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (04)

*mukhtasar sa Ta'arruf  Sayyada Aaisha Razi'Allahu ta'ala anha*

Aap Huzoor Saiyyadana Ghouse Samdani kuddisa Sirrahoo Annoorani kee foofee jaan thi'n Aapka name mubarak Aaisha Kunniyat umme Muhammad thi aap bahut badi Aabida zahida Aur Aarifa thi'n

Shaikh Abul-Abbas Ahmed w Abu Saleh Abdullah Attabaqi bayan karte hain ek dafa jeelan shareef mein khushk saali ka qahat pada logon ne har chand duaein mangi namaze istiska bhi Ada kee magar barish na huie Aakhir kar logon ne aap ki foofi jaan kee khidmate Aqdas mein hazir ho kar Arz kiya ki Aap dua farmaein ki Allah kareem barish nazil farmae

Faqaamta ila rahbate baitha w kansatil-raza waqalat ya rabbe Ana kanstu farshshe Anta".*

Tou Aapne apne ghar ke sahan mein khade ho kar jhadoo diya Aur bargahe Rabbul-Aalameen mein Arz kee ki Ae mere parwardigar maine zameen ko saaf kar diya hai tou us par chidkav kar de aapke yah arz karne kee der thi ki Aasman se mosladhar barish shuroo ho gaee aur log barish mein bhigte hue apne gharon mein wapas gaye...


*Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 89, Nuzhatul-khatir Al-Fatir: Safa 24, Qalaidul-Jawahir safa 8 )*

Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
********************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (03)




*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (03)

Mukhtasar sa Ta'arruf Hazrat Abu Saleh Saiyyad Moosa Jangi Dost Radi'Allahu ta'ala anhu*

Aap Hazrat Ghous e Aazam Radi'Allahu ta'ala Anhu ke Walide Mohataram they Aap ka isme girami Saiyyad Moosa Kunniyat Abu Saleh Aur laqab Jangi dost tha aap jeelaan shareef ke Akabir mashaikh mein se they

*LAQAB KEE WAJHE* TASMIYA:

Aap ka laqab Jangi dost isliye tha ki Aap khalisan Lillah Nafs kushi aur riyazate sharaee mein farde Wahid the neki ke kamon ke hukm karne Aur buraee se rokne ke liye made diler the is mu'aamale mein apni jaan tak kee bhi parwah na karte the Aap ka ek waqia mankool hai mulahiza farmaein

Ek din aap jama masjid ko ja rahe they ki khaleefa e waqt ke chand mulazim sharab ke matke nihayat hee Ehtiyaat se saron par uthae ja rahe they, Aapne jab un kee taraf dekha to gussa se un matkon ko tod diya Aapke taqaddus aur buzurgi ke samne kisi mulazim ko dam marne kee jurr'at na hui khaleefa-e-waqt ko Ubhara

```KHALEEFA:```
 Saiyyad Moosa ko fauran mere darbar mein pesh karo Hazrat Saiyyad Moosa : Darbaar mein tashreef le Aae khaleefa us waqt gauz w gazab se Kursi par baitha tha

```KHALEEFA```:
( Lalkar kar kahta hai ) aap kaun the jinhone mere mulazemeen kee mehnat ko raega kar diya?

```HAZRAT SAIYYAD MOOSA:```
 main muhatasib hoon aur maine Apna farze mansabi Ada kiya hai

```KHALEEFA```
 Aap kis ke hukm se muhatasib muqarrar kie gaye hai

```HAZRAT SAIYYAD MOOSA:```
 ( Roo'ab angez lehaza mein ) jiske hukm se tum hukoomat kar rahe ho

Aapke is irshad par khaleefa par Aisi riqqat Taari huie ki sarbazaanu ho gaya aur thodi der ke baad sar ko utha kar arz karta hai

```KHALEEFA:```
 Huzoor E waala ! maar bil-ma'aroof aur nahiye anil-munkar se bad kar matkon ko todne mein kiya hikmat hai?

```HAZRAT SAIYYAD MOOSA:```
 Tumhare haal par shafqat karte hue neez tujh ko duniya Aur Aakhirat kee ruswaee aur zillat se bachane kee khatir khaleefa par aapki is hakeemana guftagu ka bahut Asar hua aur mut'assir ho kar Aap ki khidmate Aqdas mein Arz guzaar hua

```KHALEEFA```
Aaleejaah! Aap meri taraf se bhi muhatasib ke Ohada par mamoor

```HAZRAT SAIYYAD MOOSA:```
 ( Apne mutwakkelana andaz mein ) jab main mamoor anil-haq hoon tou fir mujhe mamoor anil-khalq hone par kya parwa hai us din se aap Jangi dost ke laqab se mashoor ho gaye , aap mutajalli bajalale ilahi they khasaane ilahi ka maqam hasil tha Aap ko koi shakhs Agar Azeeyat pahunchata tou usko zaroor zillat aur ruswaee ka samna karna padta..

*Ref ( Seerat e ghous e  pak )*

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
********************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (02)

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (02)


*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه*
》POST_NO. (02)

*Mukhtasar sa Ta'arruf  Hazrat Abdullah Soomaee Radi'Allahu ta'ala anhu*

Aapke Nana jaan they aap jeelan shareef ke mashaikh mein se ek nihayat hee zahid aur parhezgar hone ke Alawa sahib e fazl w kamal they bade-bade mashaikhe kiram se Aapne sharfe mulaqat hasil kiya shaikh Abu Abdullah Muhammad qazaweeni Alaihirrehma  farmate hain ki Aap mustajabuddawat they Aap kisi shakhs se naraz hotey to ALLAH ta'ala us shakhs se badla leta aur jis par Aap khush hote tou Allah Az'wazal usko inaam wa ikraam se nawazta zaeeful-jism aur naheeful-baan hone ke bawajood aap nawafil kaseer tadad mein Ada farmate aur zikr wa azkar mein masroof rahte the

kana yukhbirool-bil-amre qaba w kooehi fayaqu kama yukhbiru

Aap Aksar umoor ke waqe'a hone se pahle unki khabar de diya karte the aur jis tarah aap unke Roonuma hone ki ittila detey the usi tarah hee waqe'at roopzeer hote the

*Ref ( Bahajatul-Asrar safa, 89 , Qalaidul-jawahir safa.3, matboo'aa misr nafkhatul uns farsee safa. 351, safeenatul-auliya safa 63 )*

*Qafila Kee Madad Farmana :*

Hazrat Abu Abdullah qazaweeni Alaihirrehma farmatey hain ki hamare baaz Ahabab ek Qafila ke hamrah samrqand kee taraf tijarat ka maal lekar gaye jab wah ek sahara mein pahunche tou un par dakuon ke garoh ne hamla kar diya Qafila walon ka bayaan hai ki hum ne is mushkil ke waqt shaikh Abdullah Soomaee Rahmatullah Alaih ko pukara tou hum ne dekha hua "qaimun bainana w nada subboohun kuddusun Rabbunllah tafrraqay ya khailu Anna" ki aap hamare darmiyan tashreef farma hain

Aur "Subboohun kuddusun Rabbunllahu tafrraqay ya khailu anna" padh rahe hain Aapka yah padhna hee tha ki tamam dakoo jo sawar the muntashir ho kar kuch pahadon kee chotiyon par Chad gaye aur kuch jangal kee taraf bhag gaye aur hum un dakuon se mahfooz rahe baad Azeen hum ne aapko har chand talash kiya magar aap ko na paya jab hum jeelaan wapas Aae tou hum ne yah dakuon wala waqya bayan kiya tou un logon ne halfan kaha maa gabashshaikhu Razi'allahu ta'ala anhu ki is Asna mein shaikh bilkul gayab nahin hue...

*Ref ( Bahajatul-Asraar safa 89, Qalaidul-jawahir safa 3 )*

ALLAH Azjawjal Aap par Fazl farmaye !
********************

Plzzzz Continue reading Next post insha ALLAH 

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (01)

❤SHAAN E GAUS-E-AZAM RADIALLAHU TA'ALA ANHU❤ 》 POST (01)

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*#SAAN_E_SARKAR_GAUSE_E_AAZAM رضي الله تعالي عنه* Post》(01)

HAZRAT SHEKH ABDUL QADIR JILANI RAHMATULLAH ALLAIH ke Aabaao Ajdad Azaam se the.
Gharana-E-sadat ki Azmate Zamane bhar me mashoor hai kyuki khaandan-E-sadat ki nisbat HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA SALLAM se hai isliye sayyad moaziz aur mukarram hai,

Aapke Nana jaan HAZRAT ABDULLAH SOMAYI RAHMATULLAH ALLAIH ka shumaar us daor ke Urfa-E-Kameleen me hota hai.

Aapke walid SAYYAD ABU SALEH bhi yaktaye zamana Auliya ikraam se the.

Isi tarah aapki walida Majeeda HAZRAT UMMUL KHER FATIMA RAHMATULLAH ALLAIH aur Aapki Fufi SAYYADA AAYESHA RAHMATULLAH ALLAIH bhi Aarfaat aur saalehaat se thi.

Tarruf ke taor per un muqaddas afraad ke SHAAN me chand satoor IN SHA ALLAH is silsile me Age peshe khidmat karunga.....

HAZRAT GAOS-A-AZAM RAHMATULLAH ALLAIH ka asal Naam HAZRAT SAYYAD ABDUL QADIR JILAANI hai.
Qunniyat ABU MOHAMMAD hai.

Laqab MOHIUDDIN hai Magar Ammatul Muslimeen me aap
Mahboob-E-Subhani,GAOS-UL-SIQLAIN aur GAOS-UL-AZAM ke Naam se Mashoor hai.....

📚(SEERAT-E-GOUS-E-AAZAM Safa- 13-20)
*******************
 plzzzz Continue reading Next post ....

Monday, 25 September 2017

💠 Islaam Ki Gurbat Ki Kahani 💠

💠 Islaam Ki Gurbat Ki Kahani 💠


Us Zamane Ki Kahani Bhi Hame Yaad He Jab Hamare Paas Pahenne Ke Liye Kapde Bhi Nahi The. Pehwand Lage Libaas Pehente The.
Wo Waqt Bhi Hame Yaad He ... Jab Hamare Paas 2-Gohode The , 6-Zire Thi , 8-Talwaare Thi , Aur 70-Ont The.

Aur Hamare Muqable Ke Andar Jo Dushaman Aaya Tha Unke Pass Ek Sau(100) Zira Poush Naujawaan Tha. Sare Nau-sau(9500) Ki Taadaad Ke Andar Unka Lashkar Tha Unke Paas Gaane Wali Randiya Bhi Thi. Aur Taade Aesh Dene Wale Unke Pass Nagme Aur Mizbaab Bhi The. Khane Pine Ke Samaan Bhi Wafar The.

Idhar Faaqaa Mast Log Jis Khajoor Ko Choos Kar Roza Rakhte The Usi Khajoor Ko Choos Kar Roza Iftaar Karte The.

Kya Bilaal Ameer Tha ?
Kya Salmaan Farsi Ameer Tha ?
Kya Abu Zulgaffari Ameer Shakhs Ka Naam Tha ?
Kya Badan Ke Uppar Pehwand Lage Libaas Pahenne Wale Wo Faaqaa Mast Ya Wo Maraqi Fehrist Main Aate The?

Hame To Wo Kahani Bhi Islaam Ki Gurbaat Ki Yaad Aati He Ke Jab Uhad Ke Andar 70-shahido Ke Laashe Pade Huwe He.

To Hazrat Safiya RadiyAllahu Ta'aala Anha Huzoor Ki Phophi Apne Bhai Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta'aala Anhu Ke Liye 2-Chadare Lekar Kafan Ki Aati He.

To Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Farmaya Jis Qabr Main Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta'aala Anhu Ko Dafan Kiya Jaye Usi Qabr Main Hazrat Mus'ab Bin Umair RadiyAllahu Ta'aala Anhu Ko Bhi Kafan Diya Jaye Aur Dafan Kiya Jaye..
Aur Kaha Mere Chacha (Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta'aala Anhu)
Ke Liye Uski Jo Bahen Meri Phophi Jo 2-Chadare Le Aayi He
Kaha... Ek Chadar Ham Hazrat Mus'ab Bin Umair RadiyAllahu Ta'aala Anhu Ko De.

Ye Mus'ab Bin Umair Kon He?
Taareekh Padho Kitni Dil-Aawez Taareekh He .

Makke Main Ek Ameer Tareen Khatoon He ...
Jiske Bete Ka Naam Mus'ab He...
Wo Apne Bete Ko Itna KhoobSurath Libaas Pehnati Thi He Aur Itne Khoobsurath Khushbo Aur Itr Use Lagati He
Ke Mus'ab Bin Umair Jin Galiyo Se Guzarte The.. Der Tak Wo Galiya Mahekti Rehti Thi..
Log Kehte The Yaha Se Mus'ab Guzar Ke Gaya Hoga.. Isliye Ye Galiya Mahek Rahi He...
Accha Phir Mus'ab Par Nazar Padhti He Muhammade Arbi (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ki To Hazrat Mus'ab Bin Umair RadiyAllahu Ta'aala Anhu Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ke Zulfo Ka Aseer Ho Jata He..

Maa Kafira He Jab Pata Chalta He To Uska Libaas Bhi Chin Leti He Sahulte Aur AasoodGiya Bhi Wapas Le Leti He Phir Wo Waqt Bhi Aaya Mus'ab Bin Umair Habsha Ki Janib Hijrat Kar Jate He Makke Ke HaaLaat Kuch Thode Se Khushgawar Nazar Aaye To Wo Habsha Se Wapas Makke Jab Palte To Unke Badan Par Jo Chadar Thi Wo Jaga Jaga Se Phati Huwi Thi..

Mere Aaqa Kareem Alehissalam Ne Dekha To Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ke Aankho Se Aanso Tapak Ne Lage..
Kaha Wo Yahi Mus'ab He .... Jo Itna Khush-Pook Naujawaan Tha Ke Maine Pure Makke Main Isse Khoob-Surath Libaas Pehenne Wala Koyi Dusra Shakhs Nahi Dekha..
Aur Aaj Mere Mus'ab Ko Pehenne Ke Liye Jo Chadar Muyassar He Wo Bhi Jaga Jaga Se Phati Huwi He..
Ye Islaam Ki Gurbat Ki Kahani He...
:'(
Aur Aaj Uhad Main Yahi Hazrat Mus'ab Bin Umair RadiyAllahu Ta'aala Anhu Shaheed Hojate He ... Aur Unke Liye Kafan Bhi Dastiyaab Nahi He.

Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Kaha Jo Mere Chacha Ke Liye 2-Chadare Laayi He Un Main Se Ek Ka Kafan Mus'ab Ko De Dona.. Aur Dusri Chadar Se Kafan Mere Chacha Ko De Diya Jaye.

Hazrat Mus'ab Bin Umair (RadiyAllahu Ta'aala Anhu) Ke Liye Badi Chadar Rakh Di Gayi Aur Hazrat Ameere Hamzah RadiyAllahu Ta'aala Anhu Ke Liye Jo Chadar Thi Wo Choti Thi Agar Sar Daa(n)pte To Pao Nange Hojate ........ Aur Pao Daa(n)te The To Sar Nanga Hojata. :'(

Huzoor ( Sallallshu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Farmaya Sar Ko Daa(n)p Do , Pao Ke Uppar Iskharnaami Ghaas Ko Dal Du.

Me Ye Islaam Ki Gurbat Ki Kahani Bata Rahi Hon
Jab Mere Rasool(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ke Chacha Ke Liye Pure Kafan Ka Thukda Bhi Dastiyaab Nahi Tha......
💫Islaam Us Waqt Bhi Izzat Paa Gaya Tha.
💫Islaam Us Waqt Bhi Zaleel Nahi Tha.
💫Islaam Us Waqt Bhi Sar Buland Tha.
💫Islaam Us Waqt Bhi Izzato Ki Masnad Par Tha.

Ye Wo Islaam Ka Daur He Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Masjide Nabwi Se Bahar Nikalte He To Aage Hazrat Umro Abu Bakar RadiyAllahu Ta'aala Anhuma Khade He. Chehre Ke Uppar Ajeeb Udasi He Kaha Umar Abu Bakar Is Waqt Kyun Khade Hon.
Arz Kiya Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Bhook Ne Ghar Main Tikne Nahi Diya.. Hamne Chaha Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi wa Sallam) Ka Chehra Dekhle To Kuch Pyaas Bujh Jaye.
Kuch Bhook Mit jaye.
Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Kaha Mera Haal Bhi Yahi He
Jis Cheez Ne Tujhe Gharo Se Nikala He Wahi Cheez Mujhe Ghar Se Nikaal Laayi He.

Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Chalte Huwe Abu Ayyub Ansari Ke Ghar Ke Qareeb Se Guzre Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ki Khushbo Paake Bahar Aagaye ..

Arz Kiya Banda Nawaaz : Aaj Mere Mehmaan Nahi Bante?
Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Farmaya Tumhari Marzi
Ghar Le Gaye Chataayi Bichayi
Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ko Bitaya ..
Ghar Walo Ko Bakri Ka Baccha Zibah Karke Diya ... Kaha Jaldi Jaldi Khana Tayaar Karo Mere Aaqa(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ko Bhook Lagi Hogi
Ye Keh Ke Wapas Aaye Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ke Paas Bethe Nazar Chehre Par Padhi To Gamha Gaye Naqahat Ke Aasaar Itne Wazeh The Ke Samajh Aa Rahi Thi Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Kitne Dino Se Kuch Nahi Khaya .
Oth Kar Baagh Main Chale Gaye Khajoro Ka Ghoshaa Toda Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ke Samne Rakha..

Kaha Banada Nawaaz : Jab Tak Khana Tayaar Nahi Hota Ye Khajoor Tana'ul Farmaye .

Thodi Der Ke Ba'd Khana Dastar Khwaan Par Lag Gaya .
Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Se Arz Ki Gayi Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Aaye Khana Tana'ul KarLe. Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Dastarkhwaan Par Tashreef Farma Ho Karke Huzoor(Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Kapda Othaya To Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Jab Dekha Ke Khana He
To Huzoor (Sallallahu Ta'aala Alehi Wa Sallam) Ne Ek Roti Li Aur Chand Botiya Othayi
Aur Ek Khaadim Ko Bula Kar Kaha Jao Hamare Ghar De Aao Meri Beti Fatima (RadiyAllahu Ta'aala Anha) Kitne Dino Se Bhoki He .
:'(
Jao Hamare Ghar De Aao Meri Fatima (RadiyAllahu Ta'aala A nha)Kitne Dino Se Bhoki Beti Huwi He.  :'(

● MALIKE KONAIN HE GO PAAS KUCH RAKHTE NAHI
DO JAHA KI NEAMATE HAIN UNKE KHAALI HAATH MAIN HE ●

Wednesday, 20 September 2017

WAQIYA E KARBALA POST NO,(36)> SALAAM O DUA

WAQIYA E KARBALA POST NO,(36)> SALAAM O DUA



 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*


Bahot Se Waqiat Batour E Iqtesar Bhi Zikr Na Kar Sake, Lekin Aayiye Hazraath Sohda e Keram Ki Khidmat me Salam E Aqidat Arz Karke Is Mubarak Posts "Waqiya e Karbala" Ku Dua Per Qatam Karen.

SALAM

Murtuza Ke Dularon Pe Lakhon Salam
Chasme Zahra Ke Taron Pe Lakhon Salam

Noor E Ain E Moula Ali Pe Darood
Hashmi Naamdaron Pe Lakon Salam

Bhuke Pyaase Gareebul Watan Khasta Jaa'n
Ba Khuda Roza Daron Pe Lakhon Salam

Sar Hateli Pe Rakh Kar Jo Sathi Huwe
Un BaHattar(72) Sawaron Pe Lakhon Salam

Qatl Ki Shab Jo Mahwe Ibadat Rahe
Un Tahajjud Guzaron Pe Lakhon Salam

Quwate Be-Kasan Dastagire Jahan
Be-Bason Ke Saharon Pe Lakhon Salam

Jin Ke Iman Se Iman Ne Paya Furugh
Ayse Iman Daron Pe Lakhon Salam


DUA

Dua hai ke Allah Azawajal Hame Aur Aap Ko isi Tarha Har Saal Majalise Moharram Munaqid Karne Buzurgon Ka Zikr e Jameel Sunne Sunane Aur inse ibrat o Nasihat hasil Karne Ki Toufeeq e Rafeeq Bakshe aur Allah ke MAhboob Bandon Ko Satane Aur Unki Shaan me Gustakhi O Be-Adbi Karne Se Mehfooz Rakhe.Aur Qayamat Ke Din NABIYEEN, SIDDIQEEN, SHUHADA AUR SALIHEEN ke Damane Karam Ke Saye Me Ham Logan Ka Hashr Farmaye, اللّٰھمّ آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Allah Hamare Is Kaam ko Shohda e Karbala RadiAllahuAnhum Ajamaeen Ke Sadqe O Tufail Me Qubul Farmaye, Aur Jis jis ne bhi ise Banane me Madad ki, isko Dosron Tak Pahonchaya Allah Un Sab ko Salamat Rakhe....Unke Neek Dili Jaiz Tamanna ko Pura KAre.....unke Gunahon ko Maaf Famaye...Aur Imam Hussain RadiAllahuAnhu ka Roza e Aqdas Ham Sab ko Dikahaye اللّٰھمّ آمین بجاه شفیع المذنبین


WAQIYA E KARBALA POST NO,(35) EK LAKH 40,000 MAQTOOL AUR QUDRATI INTEQAM

WAQIYA E KARBALA POST NO,(35) EK LAKH 40,000 MAQTOOL AUR QUDRATI INTEQAM


 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*


Hakim Mohaddis Ki Riwayat Hai Ke Allah Ta'ala Ne Apne Habeeb Per Ye Wahi Bheji Thi Ke Qoum Yahood Ne Hazrath Zakariyah AlahisSalam Ku Qatal Kiya To Unke Ek Khoon Ke Badle 70,000 Yahudi Qatal Huwe.Aur Aap Ke Nawase Hazrath Imam Hussain Ke Ek Khoon Ke Badle 70,000 Aur 70,000 Yani 1,40,000 Shami O Kufi Maqtool Honge.Chunanche, Hazrath E Haq Jalla Majdahu Ka Wada Pura Huwa Ke Muqtar Ki Ladai Me 70,000 Shami O Kufi Qatal Huwe.Aur Phir Abbasi Salatanat Ke Bani Abdullah Bin Saffah Ke Hath Se 70,000 Shami O Kufi Mare Gaye.

Qudrati Inteqam

Qatilane Imam Aali Maqam Me Se Jo Bad Bakhth Qatal Se Bache O Tarha Tarha Ke Zillat Aamez O Ibrat Khez Qudrati Azabon Me Mubtila Ho Gaye.Chunanche O Bad-Naseeb Jis Ne Hazrath Imam Ka Sare Aqdas Shikar Band Se Bandha Tha.Bada Hi Khubsurat Aur Haseen Jawan Tha.Magar Is Waqiye Ke Baad Iski Surat Aysi Masakh Ho Kar Bigad Gayi Ke O Ek Dam Kala Rusiya Aur Karihul Manzar Ho Gaya.Logon Ne Iska Haal Pucha To Isne Bataya Ke Karbala Se Wapasi Ke Baad My Rozana Khwab Me 2 Khouf Naak Aadmiyon Ko Dekhta Hoon Ke O Mujhe Ghaseet E Huwe Jaldti Huwi Aag Per Aoundha Latkate Hain.Isi Tarha Har Roz Mera Chehra Jalta Aur Pigalta Rehta Hai.Yahi Wajah Hai Ke Mera Chand Sa Muh Siyah Aur Mera Haal Tabah Ho Gaya.Ye Khabees Ta Dame Marg Isi Bala Me Giraftar Rah Kar Mar Gaya.

Isi Tarha Jabir Bin Yazeed Azvi Jis Ne Hazrath Imam Ka Amama Sare Mubarak Se Utar Kar Apne Sar Per Bandh Kar Khushi Me Raqs Kiya Tha.Us Per Ye Qahre Ilahi Toot Pada Ke Fouran Hi Pagal Ho Gaya..Gandi Naliyon Ka Pani Pita.Aur Gobar Aur Dosri Najasaten Khata Phirta Tha.Majburan Uske Ghar Walon Ne Isku Zanjeer Me Jakadh Diya.Aur Isi Halat Me O Zameen Per Naak Lagad Lagad Kar Mar Gaya.
Ju'una Hazri Jis Ne Hazrath Imam Ka Kurta Utar Kar Pehan Liya Tha O Mardood Bhi Kodhi Ho Gaya.Aur Iske Jism Ki Khal Aur Sar Aur Dadhi Ke Baal Sadh Sadh Kar Zameen Per Gir Padhe.
Aswab Bin Hanzalah Ne Hazrath Imam Ki Talwar Per Qabza Kar Liya Tha.O Bhi Juzam Me Mubtila Huwa.Aur Iske Tamam Badan Per Bade Bade Aabile Padh Gaye,Yahan Tak Ke Iska Sara Badan Sadh Gaya.

Harmala Bin Kahil Jis Ne Hazrath Ali Asgar Ke Halkhoom Per Teer Mara Tha, O Is Azab Me Giraftar Huwa Ke Iska Agla Rukh Shikam Ki Janib Har Waqt Aag Ki Tarha Jalta Tha.Aur Peet Ki Taraf Pichla Hissa Baraf Se Ziyada Thanda Rehta Tha.Pusht Ki Taraf O Hamesha Aag Jalaye Rakhta Aur Shikam Ki Taraf Har Waqt Paani Chidakta Aur Pankha Jhulasta Rehta Tha.Aur Usku Pyaas Ki Aysi Shiddat Raha Karti Thi Ke Har Waqt Paani Pita Rehta Tha.Magar Uski Pyaas Nahi Bujhti Thi.Aakhir Isi Musibat Me Giraftar Rehte Huwe Sar Patak Patak Kar Hilak Ho Gaya.Algharaz Gulshane Zahra Ke Lehlahate Bagh Ku Ujadh Kar Rahmate Aalam Ke Sisha e Dil Ku Pash Pash Karne Wale Dushmanane Imam Me Se Koi Bhi Qudrat Ke Qahirana Inteqam Se Nahi Bacha.Aur Sab Ke Sab Qahre Qahhar O Ghazabe Jabbar Me Giraftar Ho Kar Aazabe Darain Ke Sazawaar Huwe.

Yaad Rakhiye Ke Is Duniya Me Jis Tarha Har Cheez Ki Khaas Khaas Taseeren Hain Isi Tarha Adal Aur Zulm Ki Bhi Khaas Khaas Taseerat Hain.Yaad Rakhiye Ke Adal Ki Taseer Aabadi Hai, Aur Zulm Ki Taseer Barbadi. Hazrath Moulana Rumi AlaihiRahma Ne Kya Khoob Farmaya Ke
Gandam Az Gandam Buroyad Jo Az Jo
Az Makafate Amal Ghafil Mashao.
Yani Gyahoon Bone Se Gyahoon Ugta Hai, Aur Jau Bone Se Jau Ugta Hai.Jo Bo'ege Wahi Katoge Isliye Apne Amal Ki Jaza Aur Padash Se Ghafil Na Ho.Mashoor Misl Hai Ke.

"Jaisa Karoge Waisa Bharoge."


Maqame Ibrat Hai Ke Sirf Chand Barson Me Dushmana e Imam Qudarat Ke Qahirana Inteqam Me Mubtila Ho Kar Duniya Se Neest O Nabood Ho Gaye.Aur Inka Naam O Nishan Bhi Mit Gaya.Sach Kaha Kisi Shayer Ne Ke..

Dedi???Ke Khoon E Nahaq Parwana Shamma Ra
Chanda Aman Na-Dad Ke Shab Ra Sahar Kunad

Yani Shamma Ne Parwane Ka Khoone Na Haq Kiya To Tumne Iska Anjam Bhi Dekha. Ke Parwane Ke Khoone Na Haq Me Shamma Ko Itni Deer Bhi Aman Nahi Di Ke O Subh Tak Roshan Rah Sake. Balke Subh Hone Se Pehle Hi Shamma Bhi Bujha Di Gayi.

Plzzzzz continue reading next post insha ALLAH,.......

WAQIYA E KARBALA POST NO,(34)> UBAIDULLAH BIN ZIYAD KA NA-PAAK SAR AUR NAAK ME SAANP

WAQIYA E KARBALA POST NO,(34)> UBAIDULLAH BIN ZIYAD KA NA-PAAK SAR AUR NAAK ME SAANP


 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*


ubaidullah bin ziyad Ka Na-Paak Sar

ubaidullah Bin Ziyad Jo Kufe Ka yazeedi Governer Tha. Aur Jisne Hazrath Imam Aur Ahle Bait Ku Karbala Me Qatal Karaya. Ye 30,000 Ki Fouj Le Kar "Mousal" Me Padao Kiye Huwe Tha. Muqtar Ne Ibrahim Bin Malik-e-Ashtar Ku Fouj Ka Sipah-Salar Bana Kar .Uske Muqabile Ke Liye Bheja. Chunanche, Mousal Se 15 Kos Ki Duri Per Daryaye Furat Ke Kinare Dono Lashkaron Me Din Bhar Jam Kar Ghumsaan Ki Ladai Huwi. Aur Aakhir Kaar Sham Tak Ibrahim Ka Lashkar Fatah Yaab Ho Gaya. Aur Ubaidullah Bin Ziyad Isi Maidan Me Mohraam Ki 10vi Tareeq 67 Hijri Ku Daryaye Furat Ke Kinare Qatal Huwa. Aur Uska Sara Lashkar Bhi Maqtool Ho Gaya. Ibrahim Ne Ubaidullah Bin Zayad Ka Sar Kat Kar Muqtar Ke Darbar Me Kufa Bheja Aur Muqtar Ne Darbar Aarasta Karke Majmu'ae Aam Me Ubaidullah Bin Ziyad Ke Sar Ku Apne Takh Ke Niche Theek Usi Jagah Per Rakhwaya. Jis Jagah Is Bad-Naseeb Ne Ibne RasoolAllah Ke Sar Ku Rakhwaya Tha.
Naak Me Saanp

Tirmizi Shareef Ki Hadees Hai Ke Jis Waqt Ibne Ziyad Bad-Nihad Ka Napak Sar Muqtar Ke Darbar Me Laa Kar Zameen Per Rakha Gaya To Nagaha Ek Sanp Gaib Se Namudar Huwa Aur O 3 Dafa Iski Naak Me Dakhil Huwa Aur Mooh Se Nikla Phir Ekdam Gaib Ho Gaya.Aur Kisi Ku Aaj Tak Ye Nahi Maloom Huwa Ke O Kahan Se Aaya Tha Aur Kahan Chala Gaya.

Plzzzzz continue reading next post insha ALLAH,........

WAQIYA E KARBALA POST NO,(33)> MUQTAR BIN UBAID KA KARNAMA.

WAQIYA E KARBALA POST NO,(33)> MUQTAR BIN UBAID KA KARNAMA.


 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

Muqtar Bin Ubaid Ne Bar Sare Iqtedar Aate Hi Sab Se Pehle Qatilane Hazrath Imam Se Inteqam Lene Ka Program Banaya .Chunanche Usne Kufe Ke Government House Me Takht Per Baith Kar "Ibne Sa'ad " Ku Talab Kiya. Ibne Sa'ad Ka Beta Hafs Hazir Huwa To Muqtar Ne Dant Kar Pucha Ke Tera Baap Kahan Hai?? Hafs Ne Jawab Diya Ke Aye Ameer O To Ek Muddat Se Apne Me Gosha Nasheen Ho Kar Ibadat Me Mashghol Rehte Hain.Muqtar Ne Gusse Me Surkh Ho Kar Kaha Ke "900 Chuhe Khake Billi Hajj Ku Chali' Aaj O Gosha Nasheen Ho Kar Ibadat Guzar Ban Gaya Hai??? Hazrath Imam Hussain Ke Qatal Ke Din O Gosha Nasheen Ibadat Guzar Kyun Nahi Bana?? Aaj O Iran Ki Governari Ka Khwab Kahan Gaya?? Jis Ki Hirs O Tamanna Me Is Khabees Ne Ibne RasoolAllah Ku Qatal Karaya Tha.Iske Baad Muqtar Ne Ibne Sa'ad Ku Giraftaar Karaya..Aur Tarha Tarha Ka Azab De Kar Ibne Sa'ad Aur Iske Bete Hafs Aur Shimar Waghaira Tamam Qatilane Imam Ku Qatal Kar Diya..Aur Inke Saron Ku Hazrath Imam Ke Soutele Bhai Mohammad Bin Hanfiyah Ke Pass Bhej Diya..Phir Muqtar Ne Apni Foujon Ku Hukm De Diya Ke Jo Shakhsh Bhi Mo'urika E Karbala Me Yazeedi Lashkar Me Shamil Raha Ho Uska Qatle Aam Kiya Jaye.Chunanche Hukm Sunte Hi Kufiyon Me Bhag-Dhadh Mach Gayi Magar Muqtar Ki Foujonn Ne Un Sab Ka Taqub Kiya.Aur Jisku Jahan Paya Dhond Dhond Kar Qatal Kar Dala.Aur Inki Lashon Ku Jala Kar Inke Gharon Ku Loot Liya...Kholi Bin Yazeed Jis Ne Imam Aali Maqam Ka Sar Kata Tha.O Bhi Giraftar Karke Muqtar Ke Darbar Me Ghaseet Kar Laya Gaya.Muqtar Ne Pehle To Uske Hath Paoon Katwae Phir Isku Suli Per Latkaya, Phir Aag Me Jhonk Diya..Isi Tarha Ibne Sa'ad Ke Tamam Lashkare Ashrar Ku Tarha Tarha Ke Azabon Ke Sath Qatal Kiya Aur 6,000 Kufi Jo Yazeedi Lashkar Ke Sath Karbala Me The In Me Se Har Ek Ku Muqtar Ne Hilak Kar Diya.

Plzzzz Continue reading next post insha ALLAH.......

WAQIYA E KARBALA POST NO,(32)> SITAMGARON KA BURA ANJAM

WAQIYA E KARBALA POST NO,(32)> SITAMGARON KA BURA ANJAM


 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*


yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sham Walon Ne Yazeed Ke Bete Mawiyah Bin yazeed Ku Takht Per Bithaya..Mawiyah Bin Yazeed Intehayi Neek O Swaleha Aur Ibadat Guzar Musalman Tha.Aur Apne Baap Ki Bad-Amaliyon Se Umr Bhar Bezar Raha.Ba-Dile Nakhwasta Ye Takhte Hukumat Per Baitha..Lekin Hukmat Sambhal Ne Ke Baad Se Ta Dame Marge Beemar Hi Raha Aur 40 Din Ya Chand Mah Ke Baad 21 Saal Ki Umr Me Inteqal Kar Gaya.Mout Ke Waqt Logon Ne Kaha Ke Aap Kisi Ku Apna Janasheen Bana Dijiye.To Isne Jawab Diya Ke Myne Is Hukumat Me Koi Lazzat O Halawat Nahi Payi To My Is Talqi Me Dosre Ko Kyun Mubtila Karon..Myne Tum Sab Logon Ku Apni Baiat Se Aazad Kiya...Tum Log Jisku Chaho Ye Saltanat De Do..
Maqame Ibrat Hai Ke O Saltanat Jisku yazeed Ne Ahle Bait E Nabuwwat Ke Khoon Per Qayim Ki Aur Jis Saltanat Ki Baqa Aur Istehkam Ke Liye.Hazaron Be-Gunahon Ku Qatal O Gharat Kiya.Khud Yazeed Bhi Isse Bahot Hi Kam Muddat Tak Mustafeed Ho Saka ..Aur Aaj Isi Yazeed Ka Beta Is Saltanat Ku Apni Thokar Se Maar Raha Hai..Mawiyah Bin Yazeed Ki Mout Ke Baad Misr Aur Sham Walon Ne Bhi Hazrath Abdullah Bin Zubair Ki Baiat Kar Li Aur Aap Puri Duniya E Islam Ke "Ameerul Momineen" Ho Gaye.Phir Marwan Bin Al-Hakam Ne Baghawat Ki Aur Misr O Sham Per Iska Qabza Ho Gaya. 65 Sane Hijri Me Jab Marwan Bin Al-Hakam Mar Gaya To Uska Beta Abdul Malik Bin Marwan Taqt Nasheen Huwa.Aur Isi Abdul Malik Bin Marwan Ke Ahad Me "Muqtar Bin Ubaid" Ku Kufe Me Ghalba O Iqtedar Hasil Huwa.

Plzzzzz continue reading next post insha ALLAH.......

WAQIYA E KARBALA POST NO,(31)> YAZEED PALEED KI HILAKAT.

WAQIYA E KARBALA POST NO,(31)> YAZEED PALEED KI HILAKAT.

 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

Imam Aali Maqam Ki Shahadat Ke Baad Yazeed Bilkul Hi Be-Lagam Ho Gaya Aur Iske Zalimana Doure Hukumat Me Zulm O Adwan Aur Bad-Aamali O Isyan Se Khuda Ki Zameen Bilbila Uthi, Zina , Sood, SharabKhori-O-Haram Kari Ki Har Taraf Garam Bazari Ho Gayi..Namaz O Roza Aur Hajj O Zakat Ki Pabandiyan Uth Gayen..Aur Shi'are Islam Ki Alal Elan Be-Hurmati Hone Lagi..Is Firoun E Zamane Ki Sarkashi Aur Shaitaniyat Is Had Tak Badhi Ke 63 Hijri Me Isne Muslim Bin Uqba Ku 12 Ya 20,000 Lashkar Ka Sipah Salar Bana Kar Madine Tayyaba Per Chadhayi Ka Hukm Diya Aur Is Lashkare Ashrar Ne Rasool Ke Darbar Aur Madine Munwwara Ke Kucha O Bazar Me O Tufan Barpa Kiya Ke Jis Ku Dekh Kar Kuffar Bhi Nadam O Sharam Saar Ho Jayen..In Firoun Sift Khoon Kharon Ne 700 Sahaba Ku Intehayi Be-Dardi Ke Sath Shaheed Kiya Aur Dusre Aam Musalmano Ku Mila Kar 10,000 Momineen Ku Zubah Kar Dala..In Shaitani Foujdaron Ne Masjide Nabwi Ke Sutuno Me Ghode Bandhe Aur Ahle Madina Ke Sath Aysi Aysi Bad-Tameeziyan Kiya Ke Unke Tasawur Se Bhi Jism Ka Rongta Rongta Aur Badan Ka Baal Baal Larza Barandam Aur Nidhal Ho Jata Hai.Phir Yahi Taghuti Lashkar Makke Mukarrama Per Hamla Aawar Huwa..Raste Me Ameere Lashkar Mar Gaya To Dosra Sipeh Salar Muqarrar Huwa.Aur In Shaitano Ne Kabe Muaazama Per Sang Bari Ki Aur Harame Mohtaram Me Najasat Phenki..Phir Kaba Muaz'zama Me Aag Laga Di..Jisse Gilafe Kaba Aur Chat Jal Gayi Aur Kabe Ke Tamam Tabarukat Ku Jala Dala..Inhi Taruukat Me Hazrath Ismail Zabiullah Ke Fidiye Me Qurbani Kiye Huwe Dumbah Ke O Singh Bhi Jal Gaye .Jo Sainkhdon Baras Se Kabe Me Batoure Tabaaruk Rakhe Huwe The Kayi Dino Tak Kaba Be Ghilaf Raha Aur Bashindagane Haram Saqt Musibaton Me MubtiLa Rahe. Aakhir Kaar Yazeed Paleed Qahare Qahhar O Ghazabe Jabbar Me Giraftar Huwa..Aur 3 Baras 7 Mahine Takhte Hukumat Per Shaitaniyat Karke 15 Rabi-Ul-Awwal 64 Hijri Ku Jis Din Iske Hukm Se Kabe Muazzam Me Aag Lagayi Gayi. 49 Baras Ki Umr Pa Kar Mulke Sham Ke Shaher Hamas Me Qisam Qisam Ke Amraz Khabisa Me Mubtila Ho Kar Hilak Ho Gaya.Yazeedi Fouj Ku Jab Apne Taghoot Ki Mout Ka Pata Chala To O Zaleel O Khawar Ho Kar Makke Mukarrama Se Farar Hone Lage.Aur Hazrath Abdullah Bin Zubair Ki Foujon Aur Bashindagane Haram Ne In Sitamgaron Ku Kutton Aur Cuhon Ki Tarha Dodha Doudha Kar Maar Dala..

WAQIYA E KARBALA POST NO,(30)> RAHAMATE AALAM KU SADMA E AZEEMA

WAQIYA E KARBALA POST NO,(30)> RAHAMATE AALAM KU SADMA E AZEEMA


 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*


Is Hadisa E Faja Se Huzoor RahmateAalam SallallahuAlaihiwaSallam Ke Qalb E Nazuk Per Jo Sadma E Jaankah Guzra O Andaz O Qiyas Se Baher Hai.Hazrath Abdullah Bin Abbas RadiAllahuAnhu Ka Bayan Hai Ke Ek Roz Dopaher Ku My Khawab Me Huzoor Ahmade Muqtar SallallahuAlaihiWaSallam Ke Deedar Purnoor Se Musharraf Huwa Aur Myne Dekha Ke Huzoor Ke Gesu-e-Muambar Chehra E Anwar Per Bikhre Huwe Hain..Aur Daste Mubarak Me Ek Khoon Se Bhari Huwi Bottel Hai .My Ne Arz Kiya Ya Rasollallah!! Meri Jaan Aap Per Qurban ..Ye Bottel Kaise Hai??? Aur Is Qadar Zang O Malal K Kya Baat Hai?? To Irshad farmaya Ke Ye Mere Laqte jigar Hussain Aur Inke Jaanisar Rafiqon Ka Khoon Hai.Jisku My Aaj Suboh Se Utha Raha Hoon.Hazrath Ibne Abbas Farmate Hain Ke.My Ne Is Tareeq Aur Waqt Ku Yaad Rakha Aur Jab Chand Dino Ke Baad Khabar Aayi To Maloom Huwa Ke Yahi O Waqt Tha..Ke Hazrath Imam Shaheed Kiye Gaye The.
(Behqi)
***********************************

ANDHERA AUR KHOON KI BARISH

Riwayat Hai Ke Hazrath Imam Ki Shahadat Ke Roz Aap Ka Muqaddas Khoon Zameen Per Girte Hi Din Me Har Taraf Andhera Cha Gaya..Aur 3 Din Kamil Baghair Badli Ke Dhoop Gayab Rahi..Aur Har Taraf Andhera Hi Andhera Nazar Aata Raha..Aasman Se Khoon Ki Barish Huwi Aur Us Din Baitul Muqaddas Me Jo Pathar Uthaya Jata Tha Uske Neeche Taza Khoon Paya Jata Tha.Aur Sari Fiza Per Ranj Aur Udasi Ke Aasar Namudar Nazar Aate The.
(Behiqi)
***********************\**